Thursday, July 31, 2008
manzil.....
rahein banti hai,manzilen milti hai/kuch pal haste hai kuch pal rote hai/aasma kehta hai manzil dharti hai/dharti kehti ki manzil aasma hai/main na janoo kaun kahan hai/meri manzil na jaane kidhar hai/bas har pal ki yahi khwahish hai/mujhe bhi manzil mile/mujhe bhi maksad mile
Wednesday, July 30, 2008
rehmat
meri khwahish hai sabko manzil mile/ish dhoop bhari zindagi main jannat mile/aap bhi insaan hai main bhi insaan hoon/ush ooper wale ki aapko rahmat mile
Sunday, July 27, 2008
rooh
aadatein to badal jaati hai/milne wale ki rooh honi chahiye/jo na badle wo patthar ka tukda hai/kuch paane ka junoon hona chahiye/mohobaat bhi milegi manzil bhi milegi/paane wale main garm khoon hona chahiye
the evening
the evening is about to come saying the days of glory have gone/now the isects of disappointment are near to aarive/those who get frightened will never fight/they will also disappear one day/attack them ,fight them,crush them/and let the life should reach to its destination.
Thursday, July 24, 2008
let me move.....
let me move on the way/where nobody chose to go/this is what that is to say/there comes sometimes some bitter day/dont get frightened, dont get afraid/such moment will come and pass/u just satnd focussed like a ray
Monday, July 21, 2008
kabhi manzil.....
kabhi manzil paas hoti hai/kabhi paas ho kar bhi door rehti hai/ye taqdeer ka hi khel hai/kabhi jeetne wale ki bhi haar hoti hai/kya mumkin hai ki jeet har dum mile hi/jo mile wo bhi kabhi badkismati ki bhi sikaar hoti hai
Sunday, July 20, 2008
roz naye khayalat
roz naye khayalaat aate hain/kuch sach ho jaate hain /kuch bikhar ke rah jaate hain/jo poore huye wo khushi de gaye/jo bikhar gaye wo yaar bahut tadpaate hain/ajeeb ye tadap hai/ajeeb ye manjar hai/kaisa ye sama hai/kaisa ye khayalon ka samander hai/doob jaane ko jee chahta hai/har haal main kuch paane ko jee chahta hai/magar sab kuch paana kismat main nahi hota/phir bhi kuch kar jaane ko jee chahta hai
Saturday, July 19, 2008
bandhan
khud ki khudayee kaam na aaye/jab zindagi raas na aaye/yahan to bahut bandhan hain/kaun kahan tak nibhaye/par chale chalo aage bade chalo/yahi zindagi sabko sikhaye
Friday, July 18, 2008
jaane kahan
jane kahan ye zindagi le jaayegi/kya kisi mod par ishki raftaar kaam ayegi/zinda to hain bahut log ish jagat main/magar zindagi raas kitnon ko aayegi/zinda hona koi suboot nahi zinda hone ka/ye zindagi na jaane kab tak nachayegi
nirala
zindagi ka khel nirala hai/yahan to har koi rone wala hai/khushiyan to kam ho milti hai/kahan kaun yahan hasne wala hai/kissi ko kuch gam hai/kissi ko kuch dukh hai/par kaun yahan kissi ki sochne wala hai
Thursday, July 17, 2008
taqdeer
jab taqdeer kharab hoti hai dost to manzil nahi milti/sab kuch hone par bhi chahat nahi milti/ishliye mat chaho kissi ko ki jab wo na mile/dil ke tukde hazaar ho jaayein kyonki patjhad main baarish nahi hoti
Wednesday, July 16, 2008
kehte hain log
kehte hain log gir gir kar uthte hain log/har zakhm ko khud sehte hain log/ansoonon se bah jaate hai sailab/jo gir kar bhi nahin uth pate/wo ish duniya main kahan rehte hain log
Monday, July 14, 2008
rishtey
rishtey kudrat ki den hai/ye khuda ki mehrabaiya hai/jo zameen par nahi aasman se bante hai/dosti dil se banta hai/aur bankar amar ho jaata hai
zindagi ka phalsafa
kuch zindagi phalsafa sikhati hai/kuch taqdeer banati hai/ye muqaddar ki baat hai/tumhein kya milta hai/aur ushe kya milta hai
Sunday, July 13, 2008
dost
ye kaisa sama hai /ye kaisa afsaana hai/ye zindagi ka kaisa naya yaarana hai/har pal milte hai dost/kabhi dosti ke liye/kabhi zindagi ke liye/bas unhi ki chahton se bana humara gharana hai
jo aaj hai
jo aaj hai na wo kal tha na wo kal rahega/ish pal ka jo raaz hai wo aaj hi rahega/kal ki parchaiyon ke peeche mat bhago/ye to parchayee ka saya hai/jahan tum rahoge wahan ye rahega/na tum pakad paaoge na kuch kar paoge/ye tumhein bhagayega aur tum bhagoge/ish pal ki socho ye hi tumhara hai /ye hi satya ka afsaana hai/baaki sab fasana hai
Wednesday, July 02, 2008
jajba
jahan ki chaah hai /wahan raahein ban jaati hai/aasma ki nazrein bhi sada ke liye jhuk jaati hain/ye to manzil ko hi chune ki humne tamanna ki thi/man main jajba ho to sard dariya ki bhi aahein bhar aati hain
Tuesday, July 01, 2008
naya
har sama naya hai/har rang naya hai/ye zindagi ki daastan hai/ye afsaanon ka sama hai/aaj bheegne dena ishe baarish main /kyonki ye surkh kaynat hai
badlaav
din badal jaate hain ratein dhal jaati hain/har naam ke saath baatein badal jaati hain/wo kuch baawle hote hain jo nahi badalte/warna yahan to zindagi bhi badal jaati hai
zindagani
kahin kishti hai kahin pani hai/kahin manzil hai kahin jawani hai/rok sako to rok lo yahi apni zindgaani hai
har taraf
har taraf dhuan hai/har taraf sannata hai/zindagi ke pairon main ghungroon se naata hai/baaje re cham cham baaje re chaam cham aur nachaye har dum
zindagi na gum hai....
zindagi na gam hai/na judai hai/ye humari neeyat ki khai hai/jo jaisa karta hai waisa bhogta hai/baaki sub to rab ki duhai hai
kuch cheegein.....
kuch cheegein badal kar bhi nahi badalti/kuch raahein ek hi manzil par nikalti/na ishmain kuda kuch kar sakta hai/na sagar ki laherin rok sakti hai
asar
hum safar to bahut mil jaayenge/woh jigar chahiye/saathi bahut mil jaayenge woh nazar chahiye/kahan se aayegi woh zindagi ke tohfe/jo waqt ko rok de woh asar chaiye
taqdeer
taqdeer to muqaddar ka khel hai /khelegi hi zindagi/ye apna hi jigar hai /jee legi zindagi/kaho to aaj zindagi ka daaman chod doon/wo zehar bhi amrit hai pee legi zindag
Subscribe to:
Posts (Atom)