Friday, August 29, 2008

manzil nahi milti....

manzil nahi milti,raah nahi dikhti/main jeeta hoon yahan tanhayee hi palti/karam kuch tha dharam kuch hai/ye ajeeb dastan hai ajeeb zindagi hai/main to yahan hoon magar phir bhi nahi hoon/main to kahin khoya hoon ye ajeeb kismat hai

Thursday, August 28, 2008

mausam aate hain........

mausam aate hain kuch bheege hote hain kuch bhigo jaate hain/tanhayee se jo ladte hain kuch baawle hote hain kuch baawle ho jate hain/ye to jarra jarra kah raha deewanepan ka/hum wo aahsik hai jo ud jaate hain ya saath uda le jaate hain

Wednesday, August 27, 2008

pramod's poem

is dil ki gehraai me zara jhankar to dekho, khud ko hi paayoge n ho yakin to zara aakar to dekho , apne liye n shi dusro k liye zara jeekar to dekho, jo maza hai dusro k liye jeene ka use zara tum v aajmakar to dekho.

Friday, August 22, 2008

jeene ke liye

jeene ke liye hoti hai zindagi/main to saki hoon peene ko hoti hai zindagi/log yahan paaon se nahi jehan se apahiz hai/kuch karne ke liye mar mitne ke liye hoti hai zindagi

Wednesday, August 20, 2008

rona to.........

rona to har kissi ki kismat main hota hai/koi khuleaam rota hai koi muh chipa kar rota hai/jo na roye wo dil hi kya hai/ye dharti bhi roti hai ye ambar bhi rota hai

Tuesday, August 19, 2008

it is better.......

its better to be blind to see all rusty things/everywhere u cant find the beauty queens/sometimes life give u chance to move forwad/sometimes it stretches her arms back and makes u to go downward/so never get so haapy in ur rising days/dont get sad in ur downfall/they both are not ever lasting and will change one day.

Friday, August 15, 2008

dil to....

dil to ushne kayee diye the humein apna banane ko/wo dil patthar nikla aake ish jamane main/ishmain na ushki galti hai na meri/ye zamana hi dhoka kya hoga jor aajmane main

desh ke sipahi

hum ush desh ke sipahi hai jo jaan dena jaante hai/koi buri nazar se dekhe ushe mitana jaante hai/jo bhi aankh uthayega humari taraf jal kar raakh ho jaayega/hum hindustani barood hai jal kar khak ho jaayega

mujhe khuda.......

mujhe khuda bana ya na bana/main tera hu tujhse bichad ke kahan jaaonga/kab se hai ye aankhein tere intezaar main/tujhse baahein chuda kar kahan jaaonga

aashiq to paagal........

aashiq to pagal hote pyar karne nikal padte hai/raaton main tanha baith kar chupke chupke rote hain/jo unke pyar ko pyar na samjhe wo bewafa hai/aise zalimon se to hum tauba karte hain

Wednesday, August 13, 2008

kuch dil ........

kuch dil kehta/kuch dimaag sochta/ish gutham guthi main insaan aise hi pista hai/wo maane bhi to kiski maane/na maane to kiski na maane/har dum har pal wahi hota jo hona hota hai/dimaag kuch kehta hai dil kuch kehta hai/ye jeevan ki daasta hai ye zindagi ki daasta hai

Tuesday, August 12, 2008

main to zindagi....

main to zindagi ka kabhi kaayal na tha/main to ghar main hi tha jahil na tha/bas bahar nikle ish jamane ki rangat ko dekhne/ye dil to poora toot gaya bas sirf main ghayal na tha

aaj zindagi........

aaj zindagi niras hai kal to khushi aayegi/yahi ek aas hai kal to dukh ki chaya jaaegi/chalte rehte hain zindagi ke khel to yahan/ye zindagi ki raah hai aage badti hi jaayegi

dhal jaate hai?

din dhal jaate hain raatein dhal jaati hai/ya khuda adab se baatein dhal jaati hain/kuch to hoga accha zindagi main /main bhi dhal jaata hoon ye duniya bhi dhal jaati hai

Friday, August 08, 2008

sometimes we move.......

sometimes we move sometimes we remain still/take your deep breath and find ur will/sometimes you feel accompanied sometimes alone/just hear the voice nothing but ur own clone/there is a way there is the will/will give u success you move till

Wednesday, August 06, 2008

keep doing.........

do whatever u like without any hesitation/think whatever u like without any frustation/in the mean time there remains no ifs and buts/the life is short and full of instruction/keep doing keep doing keep doing....................

Tuesday, August 05, 2008

banawati jahan

ish banawati jahan main har cheez kori lagti hai/kuch sampoorna hoti kuch adhoori lagti hai/hum bhi nikle the banawati ish daud main/magar saadgi hi yahan jaroori lagti hai/

Monday, August 04, 2008

zindagi baalon ki tarah.....

zindagi baalon ki tarah ulajhti hai/kabhi lava ki tarah aag ugalti hai/yadi guthi na ho to zindagi hi kaisi/bas apney aap hi sulajhti hi/

Sunday, August 03, 2008

happy friendship day......

jeene ke liye saansein keemti hoti hain/kuch karne ke liye iraade keemti hote hain/jo na toote wo rishtey anmol hote hain/jo zindagi bhar saath nibhaye wo dost hote hain /har ghari hal pal har lamha/main maango bas ek hi dua /jeevan main kuch dena ya na dena/dosti ke liye ek dost dena/happy friendship day...........

Saturday, August 02, 2008

na aham karna

sab kuch karna na kabhi aham karna/khudre huye zakhmon pe ahista se marham karna/milegi tumhein malik ki rehmat/mushkil ke waqt main bhi juram na karna/ye zindagi tumhari nahi hai/kissi aur ki ye amanat hai/na rakh sake ishe tum yon bacha ke/ush ooper wale ki nazron main khayanat hai

Friday, August 01, 2008

apney-paraye

apney hi paraye ho gaye/apney ghar bhi saraye ho gaye/kya kahein ye kaisi zindagi hai/ya kahein ki ye kaisi duniya hai/apnon ka apnon se kaisa nata hai/paraye to apney lagne lage/jo apney the wo paraye lagne lage/kash samajh pate ye jahan wale/ye dil ki hasrat ko,dil ki bechaini ko/magar wo kya samjhenge wo apney ab kahan hai wo to paraye ho gaye