Tuesday, September 30, 2008

jannat

aapne to name jannat rakh liya ab likhne ko bachta kya hai/ish jahan main jannat se bhala accha kya hai/hum to zindagi jeete hain ish jahan main ghut ghut ke/aap to khud hi jannat hai ab paana aur kya hai/kissi ko ye na mila kissi ko wo na mila/jannat main to jahan ka har pal nirala hai

kabhi zindagi ne.......

kabhi zindagi ne sahara diya kabhi zindagi ne besahara kiya/hoke juda na kuch kiya na kuch jiya/jabse hoon main hosh main/jeeta hoon bade hi josh main/na kuch kissi ka liya na diya

Monday, September 29, 2008

bikhra hoon main........

bikhara hoon main mujhe gam nahi hai/poora hone ki mujhmain dum nahi hai/milan to dharti ka bhi nahi hota aasma se/bas ush se jud jaane ka bhram nahi hai

Friday, September 26, 2008

mausam badalte hai rang ujadte hai/har roz hum manzil badalte hai/kehti hai zindagi tu mera hai/har dhadkan main aansoo sulagte hai/parchayee peecha nahi chodti astitva se/main bhi paraya hoon jaane kyon jhagadte hai

Tuesday, September 23, 2008

kabhi tanha.......

kabhi tanha the aaj bheed main gum hain/kabhi parchayiyan katne ko daudti thi/aaj dhoop main khile hain/kabhi ek jaam bhi na tha lavon pe/aaj bottle liye khade hain

Friday, September 19, 2008

zindagi roz naye.....

zindagi roz naye geet sunati hai/kabhi rulati hai kabhi muskrati hai/hoke jo ishse juda/teri hi yaad satati hai/zindagi ke afsaanon se roz naye rang churati hai

happy birthday

let it enlighten ur day/and bring no hurdles on ur way/u move free on ur path/wish u a prosperous birthday

Tuesday, September 16, 2008

winds of change......

winds of change are in the air/some are far some are near/some goes wrong but not all/then why to fear ye dear/its the life varies and differentiates/change now and raise ur gear

Monday, September 15, 2008

kabhi raahon ka........

kabhi raahon ka pata na tha kabhi manjil ka pata na tha/jo thi zindagi to haalaton ka pata na tha/gar mili khushi to dil khush hua/mujhe saahilon ka pata na tha

Tuesday, September 09, 2008

kuch tamanayein......

kuch tamanayein hain kuch dil ki ashayein hain/jo huyee poori khushi de gayee/jo na huyee poori wo khwab ban gayee/man to machalta hai/kuch karne ka dil chahta hai/main hoon main hoon main hoon

Monday, September 08, 2008

kaisi ye uljhan.....

kaisi ye uljhan uljhati hai/na koi raah samajh aati hai/idhar jaayein ki udhar jaayein/ye zindagi kaise khel khilati hai/naach mere bander naach mere bander/bas zindagi yahi batati hai

Sunday, September 07, 2008

the world changes.........

the world changes the weather changes/in a short while the life changes/though comes tough time in the life/nothing is eternal it all changes/move on move on move on....../

Saturday, September 06, 2008

arthee to uthni.......

arthee to uthni hai so uth jaayegi/jaane zindagi kab kahan rooth jaayegi/bahut aate hain ish jahan main jeene wale/maut ke baad saari khwahishein mit jaayegi

Thursday, September 04, 2008

yaad bhule nahi.........

yaad bhule nahi bhoolti jo dil main rehte hain/jaan jaa kar bhi nahi nikalti jo dil main rehte hain/bahut dard hota hai ish dil main jab tadapta hai/jor ki chot lagti hai jab dil rota hai

Wednesday, September 03, 2008

fasane duniya main........

fasane duniya main bahut hote hain/afsaane bahut kam bante hain/tune mujhe kya banaya -e- mere khuda/bata teri raza kya hai

Tuesday, September 02, 2008

kuch tanhayee hai.......

kuch tanhayee hai kuch tanhayee ki parchayee hai/ye waqt ka dariya hai waqt ki ruswayee hai/hum to jeete hain ish samundar ke aanchal main/kya humari bhi honi kabhi sunwayee hai?

Monday, September 01, 2008

yahan to.......

yahan to sab zinda hain magar jiye kitne hain/kuch to zinda bhi mare huye hain/kuch to apna karam karke chale bhi gaye/aur kuch janjar haalat main pade huye hain