Wednesday, October 22, 2008

khoya hoon main........

khoya hoon main jaane kahan/kya paana hai mujhe nahi pata/na koi chahat hai na koi arjoo/yahan kuch nahi bhata zindagi yu na sata

Tuesday, October 21, 2008

kabhi hum roye the unhein paane ko/kabhi tadpe the diye jalane ko/wo to diya tha jal gaya/main kyon jal raha hoon ushe paane ko

Monday, October 13, 2008

tanha zndagi hai......

tanha zindagi hai main jhel raha hoon/main tadap raha hoon main jal raha hoon/khoya hoon main kahan mujhko nahi khabar hai/main ander nahi hoon bahar nikal raha hoon

Saturday, October 11, 2008

i m moving........

i m moving the unknown path/the life is daring on my part/somewhere,somehow,someday i will have to reach to my destination/but where is the destination/where is its location?/its to difficult to counterpart/its too typcal to counterpart.......

Friday, October 10, 2008

har pal......

har pal khushi nahi milti/har ghari sukh nahi milta/har sama dukh nahi rehta/ish dil main kabhi aashiqui palti hai/kabhi tanhayee khilti hai/har waqt raat nahi hoti har waqt din nahi hota

Thursday, October 02, 2008

bas yahi........

bas yahi fariyad hai tujhse zindagi/na tadpa mujhe itna kabhi/tere gam main jeeta hu main magar jeeta nahi/har pal marta hu magar marta nahi/nahi sehan hoti mujhse teri berukhi

Wednesday, October 01, 2008

ab to zinda........

ab to jinda hain magar mare huye hain/jee rahe hain magar jeete huye se hain/sab kuch nahi hota sirf raah par chalna/jo manzil na dikhe bas wo daastane safar hain