Sunday, November 23, 2008
teri saadgi..........
teri saadgi hi hai jo chechre par jhalakti hai/kabhi muskrahat bankar noor si khilti hai/kuch hi bande hote hai ushke banaye huye tujh jaise/jinki aankhein sach ke saaye mai chamakti hai
Wednesday, November 19, 2008
lagta hai.....
lagta hai dard se bahut gehra naata hai/aur kuch nahi ish dil ko bhata hai/kabhi khush bhi huye to kya/kambakht ye dil bahut satata hai
zindagi ajab ........
zindagi ajab khel khilati hai/kabhi haathon mai uthati hai/kabhi har pal tadpati hai/pata nahi kaise jee raha hu/kabhi khud par itrati hai/kabhi mujh par muskrati hai
Tuesday, November 18, 2008
zindagi ne.........
zindagi ne bhi kya kya khel khilaya/kabhi tanhayee se kabhi khushi se milaya/hum to sab kuch bhool gaye the ishki parchayee mai/kabhi hansaya kabhi bahut rulaya
Sunday, November 16, 2008
kabhi tanhayee.......
kabhi tanhayee humari dost ho jaati hai/kabhi khamosi humare dil ko bhati hai/magar ek wo hi hai patthar dil/jisko humari yaad nahi aati hai
har gazal hum.......
har gazal hum gaate nahi hai/sabko apna dost banate nahi hai/jo ish dil ko bhate hai/unse kabhi peecha chudate nahi hai
dosti mai dil......
dosti mai dil se dua nikalni chahiye/khud marna bhi pade dosti bachana chahiye/ye khuda meri hai tujhse yahi dua/kabhi mere doston pe aanch nahi aana chahiye
doston ki galti.......
doston ki galti ko maaf kar dena chahiye/ya phir insaaf kar dena chahiye/magar kuch bhi na rakhna apney dil mai/sach hai sach ka saath dena chahiye
mujhe nahi pata........
mujhe nahi pata mai kya likh raha hoon/mai geet likh raha hoon ya gazal likh raha hoon/bas jo bhi likh raha hoon dosti ke naam hai/bas apni duaon pe tera name likh raha hoon
mujhe bhoolne ki.......
mujhe bhoolne ki koshish na karna yaad aata rahoonga/dosti ki hai to nibhata rahoonga/kabhi mar bhi gaye agar to koi gam nahi/ooper se hi tujhe dua deta rahoonga
Saturday, November 15, 2008
kabhi suraj ne.........
kabhi suraj ne sikwa na kiya ki ushe jalne kyon chod diya/kabhi chand ne sikayat nahi ki ki ushe tadapne kyon chod diya/ye zindagi to teri amanat hai jeena padega/phir toone kyu sikayat ki ish dil ko dhadakne kyu chod diya
Monday, November 03, 2008
kabhi khushiyon.......
kabhi khushiyon ke moti bikharte hain/kabhi gam ki chadar chadti hai/ye zindagi ke afsaanon ki kahani hai/kabhi bhari aankhon se need ujadti hai
Subscribe to:
Posts (Atom)