Monday, December 26, 2011
Mai apne khayalo se....
Mai apne khayalo se guzar raha tha/Tujhe dekh kar sihar raha tha/Mai apne aap ko bhul gaya/Aisa tere sehar ka asar raha tha/Log gunzaish rakhte hai apne dil mai thodi si/Mera sapna har pal bikhar raha tha/Mera sapna har pal bikhar raha tha......
Saturday, December 17, 2011
Sab kuch aaine ki tarah.....
Sab kuch aaine ki tarah saaf nahi hota/sab kuch hokar bhi paas nahi hota/waqt badalne mai der nahi lagti yahan/mera dil bhi kabhi kabhi mere sath nahi hota/kaise karu mai yakeen tumhare ooper/tumhe to mera name bhi yaad nahi hota/tumhe to mera name bhi yaad nahi hota.......
Monday, December 05, 2011
dhuye ki tarah.....
dhuye ki tarah ud rahe hai din/kabhi baadlo mai chupte hai/kabhi aankho se ojhal hote hai/kabhi ghul jate hai dhuye ki lato mai.../kabhi ulajh jati hai sham/kabhi darta hai insaan/kabhi simat jati hai zindagi khud ki hi baaho mai.../kabhi dhua dhua ho jati hai zindagi/ek pal mai ud jati hai zindagi/katra katra bikhar jati hai zindagi...dhuye ki tarah ud jati hai zindagi/dhuye ki tarah ud jati hai zindagi......
Subscribe to:
Posts (Atom)