Aksar shehro mai gum jate hai log/Par mit jati hai unki sahanbhuti, mar jati hai antaraatma aisa pata na tha/ Chand ki chandni bhi dhumil padti hai suraj ki tez dhoop mai, par phir bhi wo chamakta rehta hai raat ke andhero mai,sheetalta pradan karte huye logo ko/Phir kyu mar jati hai logo ki samvedna usi sehar mai rahkar jahan har raat chand roshan karta hai usi sehar ko/Lagta hai logo ko sooraj se prerna milti hai jalne ki /ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab/ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab.......
Thursday, May 31, 2012
Sunday, May 13, 2012
Maa har pal yaad......
Maa har pal yaad karti hai/Kabhi sajda kabhi fariyaad karti hai/Ansu na a jaye meri aankho mai/Khud rokar din raat karti hai/Khusi ka khana mai akela kha gaya/Gam ka naasta wo mere sath karti hai/Gam ka naasta wo mere sath karti hai........
Saturday, May 05, 2012
Kitaabon ke panno mai....
Kitaabon ke panno mai likhi wo likhawat hai/Baithak ki almaari mai saji wo sajawat hai/Tere noor se nahi hattti hai ab aankhe/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai.....
Subscribe to:
Posts (Atom)