Friday, December 20, 2013

Har roj ek jaisi....

Har roj ek jaisi kahani nahi hoti/Badalti hai roj naye swaad ke sath/Kabhi khatta, kabhi meetha,kabhi kadwa/Badalta rehta hai zindagi ka falsafa bhi/Roshi madham padti hai diye ki bhi/Baati bhi jalti hai/Jaruri hai Tel mai bhigo kar baati ko rakhna/Bujhne se roke rakha jitni der tak rakh sake/kahani to badalti rahegi har roj.........

Wednesday, December 11, 2013

Hansi thahako mai shamil....

Hansi thahako me shaamil hona padta he/Hansi ke maare ghayal hona padta he/Zindagi bahut chotti he yaar/Dosto ki zamaat me paagal hona padta he/Bas yaad reh jayege waqt ke kuch kisse /Aise kuch lamho ka kaayal hona padta he/Aise kuch lamho ka kaayal hona padta he...

Wednesday, December 04, 2013

Badi klisht hoti hai zindagi ki kahani.....

Badi klisht hoti hai zindagi ki kahani/kabhi kissi ki chahat mai simat kar reh jati hai/Kabhi kissi ke algaaw me bikhar jaati hai/Phoolo se naajuk bhi hai aur patthar si kathor bhi/Jaane kab ashk beh jaaye aur jaane kab muskrahat ki chatta bikhar jaaye/Subah ki laalima thandak deti hai aankho ko/Dopehar ki dhoop chubhan/Saanse kab toot jaaye/Kab roshni andhere mai badal jaaye andaaza lagaana mushkil hai/Badi klisht hoti hai zindagi ki kahani............

Tuesday, November 26, 2013

Yaad rakhne ki parwaah kaun kare...

Tum apne mai hi magroor raho/Jahan ki parwaah kaun kare/Ye hai,wo hai,tum ho sochne wale/Jamane ki parwaah kaun kare/Tumhe rukne ki kahan fursat hai/Saaye ki parwaah kaun kare/Tum bhoolo na bhoolo ye tum socho/Yaad rakhne ki parwaah kaun kare/Tum bhoolo na bhoolo ye tum socho/Yaad rakhne ki parwaah kaun kare....

Sunday, November 24, 2013

Jab aata hai Sunday yaar....

Jab aata hai sunday yaar,nikal jaata din saara/Hafte bhar ka tha bukhaar,nikal jaata din saara/Kaam ki badti maar,nikal jaata din saara/Sone ka tha bhoot sawaar,nikal jaata din saara/Yaad aata Somvaar,nikal jaata din saara/Jab jab aaye Itvaar,nikal jaata din saara/Jab jab aaye Itvaar,nikal jaata din saara.......

Thursday, November 14, 2013

Waqt ki raftaar bhi huyi....

Jeet bhi huyi haar bhi huyi/Pyaar ke sath takraar bhi huyi/Bachpan ki baate hai/Sapno mai saakar bhi huyi/Nanhe kadmo ki aahat thi/Waqt ki raftaar bhi huyi/Waqt bhi raftaar bhi huyi.......

Sunday, November 03, 2013

Diwali man bhaavan....

Diwali man bhaavan,rango se saje aangan/Tyohaar ati paavan,vadh karo Raavan/Deep jale aangan,ghar aaye saajan/Prabhu tum dukh haaran/Laxmi kare paalan/Diwali man bhaavan,deep jale aangan......

Thursday, October 17, 2013

Bahut khoobsurat lajawaab nikla....

Bahut khoobsurat lajawaab nikla/Eid ka chaand aasma me nikla/Duao,shafao ka daur hai/Rehmat-e-karam mehtaab nikla/Raunak hai dilo me aur jahan mai/Mohobbat dil me liye ishq ki daastan nikla/Eid ka chaand aasma me nikla.....

Sunday, October 13, 2013

Ram humme hai.....

Ek Ram,ek Ravan humme hai/Sajjanta,dushtta humme hai/Putle jalane se Ravan nahi marta/Wo putlo mai nahi humme hai/Saumyata Ram ka swaroop hai/Katuta,nirdhta humme hai/Kaha dhoondte ho Ram ko mandiro mai/Mitado Ravan,Ram humme hai/Mitado Ravan,Ram humme hai............

Wednesday, October 09, 2013

Yaha sabki chaal...

Yahan sabki chaal juda hai/Sambhle kadmo ki aahat hai, aur kisi ki ada hai/Aade, tirche,tede,mede mod hai/Tu hai,tere kadam hai,teri raza hai/Jaane tere man mai kya,uske man mai kya basa hai/Yaha sabki chaal juda hai...

Har koi apni naakamiyo ko...

Har koi apni nakaamiyo ko chupaye baitha hai/Koi khwaab mai,koi dil mai,koi tanhayiyo mai/Khaali raaste phir bhi magroor hai anjaani manzil ke/Jiska pata na raahi ko hai,na raah ko/Naakamiyo se ulajhti hai mauje, ladti hai har waqt sahil se/Baar baar chot khati hai par nakaami chupati nahi/Kuch ladkar dum tod deti hai,kuch manzil paa jati hai/Kuch ladkar dum tod deti hai,kuch manzil paa jati hai...

Tuesday, October 08, 2013

Nav diwas,nav roop..

Nav diwas,nav roop/saumya,shakti,shristi sampoorna/Matra shakti srajan karti/Bin maa sab soonya/Bin maa sab soonya..

Thursday, October 03, 2013

Raaz ki baat bataye....

Raaz ki baat bataye raaz hi rakhna/Sabko phir samjhaye raaz hi rakhna/Tum pe bharosa hai chupane ka/Khud chup na reh paaye raaz hi rakhna/Sareaam na ho jaaye kahi ye baat/Humne sirf tumko batayi raaz hi rakhna/ Humne sirf tumko batayi raaz hi rakhna........

Sunday, September 29, 2013

When the mind is not free

When the mind is not free/When the heart is not 'Me'/This Lust green covered with clouds/ forget 'I', 'You' and 'We'/.....

Friday, September 13, 2013

Samudra ke kinaare...

Samudra ke kinaare,jheelo ke sahare/Jab shaam dhalti hai,Lehre ufanne lagti hai/Maajhi laut aata hai,saahil bheeg jata hai/Aur dil bas gungunata reh jata hai/Zindagi tu kya ajeeb hai/Maujo mai palti hai,maujo ko sehti hai/Maujo mai palti hai,Maujo ko sehti hai....

Saturday, September 07, 2013

Raj wahi sawaal....

Roj wahi sawaal dohrate ho tum/ Jiska jawab mere paas nahi hota hai/Kyu aag lagate ho tum/Jo sulaghti hai madham madham/Na to uske bujhne ka waqt maloom hota hai/Na wo jhat se jalkar khaak mai badalti hai/Dhadhakti rehti hai seene mai/Sawalo ki raakh bankar/ Aur dhuaan uthta rehta hai dard ka/ Kyu chingaari bhadkate ho tum/Kyu sawaal dohrati ho tum Zindagi.....

Friday, August 30, 2013

Let us be friends...

I am fed up of your queries, O life/ Let us be friends and find it out/ In love, in pain, in fear, in sorrow/In innocent smile, Or you have any doubt/ Let us be friends and find it out....

Tuesday, August 27, 2013

O my 'Success'

When I met you first time,I delighted/When I departed with you first time,I persecuted /Like the birth and death/We kept on meeting and departing/Kept playing hide and seek/What did I receive and what did I loose/ Just a matter of illusion/You are the magician/O my 'Success'/O my 'Success'.....

Thursday, August 22, 2013

Ek sootra mai piroya ....

Ek sootra me piroya pyaar/Sneh bhara tera bandhan/Anootha ye paavan parv/Kalai me rakhi, maathe pe chandan/sadaiv aage bado tum ajey/Khusiyo se jholi bharde Rakshabandhan/Khuahiyo se jholi bharde Rakshabandhan.....

Sunday, August 18, 2013

Thame thame hoge aasu...

Thame thame hoge aasu, thami thami hogi muskrahate/Bikhri bikhri hogi boonde,kahi ankahi hogi baate/Ruka ruka hoga safar, Bhulti bisri hogi yaade/Tadapta jalta hoga dil, lambi lambi hogi raate/Bahutayat me hogi yaade, bahutayat me hogi yaade......

Tirange ki aan....

Tirange ka aan, maan, shaan, baan/Humse hai/Desh meri jaan, abhimaan/Humse hai/Swatantrata ka gaan, hind ka dhyaan/Humse hai/Tu hi meri jaan, agrasar Hindustaan/Humse hai...Swatantrata diwas ki haardik shubhkaamnaye!!!

Sunday, August 04, 2013

Blunderous Talks

In the canteen of life/
Playing with armature of knife/
To build the saladatic friendship/
And to live like a hive/
When ponder it mocks/
Those were the blunderuous talks.

I,they and everyone thee/
Fought as if exists only 'me'/
Sorrounded by arrogance/
And forgot the culture of 'We'
People say it stupidity lobs/
Those were the blunderous talks.

Never can I be...

Never can I be victorious/Nor can I stand against you/But heart insists to fight still/Without favorable or unfavorable result/Like the stars in the moonlight/Still attracts the Earth/I too have to stand against the Time/I too have to stand against the Time....

Saawan ka pratham somvaar...

Saawan ka pratham somvaar/Shiv kripa rahe apaar/Bin jhoola saawan adhoora/Barkha ki rahe bauchaar/Pavitra paavan mahina hai ye/Damru, mridang ki ho hunkaar/Shiv ki kripa rahe apaar....

Sunday, July 28, 2013

While the sunrise...

While the sunrise or sunset/Thinks never of the gone/Neither of the upcomings/Faces are red, glowing with happiness/And they ignore miseries or sad/And they ignores miseries or sad.....

Ek saba hoti hai...

Ek saba hoti hai kissi ko khana khilana/Aur log usi mai zehar milaate hai/Ek dua hoti hai madad karna/Aur log usi mai hi dagaa karte hai....

Friday, July 12, 2013

Girti rahi baarish ki boone...

Girti rahi baarish ki boonde/Bheegta raha hai tan, badan/Hawaon ne sunayi ho dil ki dhun/Jhoom jhoom jaaye awara man/Mere geet aur tu sun/Mere geet aur tu sun......

Saturday, June 29, 2013

Saakho se toot'te phool.....

Saakho se toot'te phool/phoolo se tapakti khushboo/khusboo me sama pyaar/zindagi me bas tu/tujhse ye duniya/duniya me saji bahaar/Ae mere parwadigaar/Ae mere parwadigaar........

Sunday, June 16, 2013

Tu mere safar ki saathi.....

Tu mere safar ki saathi, me tere safar ka saathi/me tujhe bha gaya, tu mujhe bhaa gayi/Tere bin aadha me, mere bin tu aadhi/Tere bin aadha me, mere bin tu aadhi....

Ghumad ghumad badra barse....

Ghumad ghumad badra barse,ghumad ghumad manvaa tarse/Megh raag man bhaaye,sushk vasudha prati pal harshe/Megh raag man bhaaye,sushk vasudha prati pal harshe...............

Tuesday, June 11, 2013

Kori zindagi ki kismat....

Kori zindagi ki kismat itni hoti/Likhi jati hai kisi aur ke haatho ki syahi se/Akshar uske itne sakht hote hai jo mitte mitte nahi aur padte bante nahi/Kabhi mitaane ki koshsish bhi naakaamyaab hi saabit hote hai/Wo hamesha wahi rehte hai/Mitaane ki koshish de jaati hai ghaav/Adhik prayas mitane ka saabit ho jata hai uske astitva viheenta ka/Kori zindagi ki keemat itni hoti hai.......

Saturday, June 08, 2013

Bhiga tan badan...

Bhiga tan badan, baarish ka mausam/gaaye sabka man, barkha kare chama cham/jhoom raha man, masti me tum hum/khilkhila raha chaman, badra jhoome jhama jham/khilkhila raha chaman, badra jhoome jhama jham....

Saturday, May 18, 2013

Yahi kahi mil jati hai.......

Yahi kahi mil jati hai khushi raaho mai/Kisi ke sajde mai kisi ki nigaahon mai/Thokar to khaati rehti hai zindagi aksar/Bikhre to bikhar jaye lekin sirf hawaon mai/Ek muskraahat hi kaafi hai sambhalne ke liye/Parindey madhmast rehte aasmaon mai/Parindey madhmast rehte aasmaon mai............

Sunday, May 12, 2013

Meri aan mera bhagwaan........


Meri jeet, mera maan sab tujhse hai/ Mera gyaan,mera abhimaan sab tujhse hai/Bin aashirwaad tere bin Maa kuch nahi /Meri preet, mera samman sab tujhse hai/Meri aan ,mera bhagwaan sab tujhmai hai/Meri aan mera bhagwaan sab tujhmai hai........

Sunday, May 05, 2013

Kahi bhi vichre....

Kahi bhi vichre panchi tu/Tujhe ana padega karm bhoomi mai/Gagan maana bahut vishaal hai/Nibhana hoga kartavya bahuyaayami mai/Lautna to padega hi ek din/Apne din mai,apne jeevan mai/Apne din mai,apne jeevan mai.....

Friday, April 19, 2013

Jai shri Ram......

Aseemit shakti,aseemit kala,aseemit pyaar/Name anek,jag ke dulaar/Maanav roop,vishwaroop,sanskaar/Ek hi name,chaaro dhaam/Jai shri Ram/Jai shri Ram......

Saturday, April 06, 2013

Tum bhi wahi sochte ho.........

Tum bhi wahi sochte ho jo mai sochta hu/Tilmilaate ho dhoop bankar jab gussa hote ho/Jhakjhor jaate ho toofano mai jab khafa hote hai/Bikher dete ho khusboo prasanna chitt man se/Barsaate ho pyaar bankar paani ki boonde/Naaraj tum bhi hote ho,mai bhi hota hu/Muskrahate tum bhi lutate ho,mai bhi lutata hu/Tum bhi wahi karte ho jo mai karta hu/Tum bhi wahi sochte ho jo mai sochta hu............

Wednesday, March 27, 2013

Holi O Holi.........

Khele sab humjoli,holi O holi/Huddango ki toli,holi O holi/Rang lagake,gulaal uda ke daaman rangen karde/Bole pyaar ki boli,holi O holi/Geet gaake,gungunake jahan mai rang bharde/Paa jaaye meet ki jholi,holi O holi/Paa jaye meet ki jholi,holi O holi

Saturday, March 16, 2013

Rimjhim pani,behti jawani....

Rimjhim pani,behti jawani,yaado ka sangam/Naani ki kahani,dil deewani,jeevan darshan/Geet ke pyaale,matwale,sugandhit anjuman/Susajjit mela,rishto ka jhamela,prasanna chitt darpan/Dravit chakshu,maangte bhikshu,anupam jeevan/Kyu toota saath,kyu choota hath,kyu badalta mann/Kyu toota saath,kyu choota hath,kyu badalta man.....

Sunday, March 10, 2013

Prathamakshar Om jag......

Prathamakshar Om jag mai goonja/Shiv ke jaisa na koi dooja/Neelkanth ardh chandra sar par taje/Jinki jataaon mai Gange viraaje/Shiv,shakti ke milan ki raatri/Sabko shubkaamnyae Mahashivratri/Sabko shubhkaamnaye Mahashivratri........

Friday, March 08, 2013

Jeet bhi haar bhi...

Jeet bhi haar bhi tujhse hai/saaj bhi awaj bhi tujhse hai/Phoolo ke bina kyaari sooni lagti hai/Titliyo ki awargi tujhse hai/Khoobsurat hai tumse ye duniya/Ishwar ki Chitrakari tujhse hai/Ishwar ki chitrakari tujhse hai.......

Tuesday, March 05, 2013

Khule aasman ke neeche...

Khule aasmaan ke neeche jab sona hai/Koi bhi gam ho kya fark padta hai/Chaadar kitni bhi lambi kyu na ho/Chaand to har roj ghatta badta hai/jane do us paar khsitij ke akele hi/Kaun badnaseeb tanhayee se darta hai/Kaun badnaseeb tanhayee se darta hai....

Wednesday, February 27, 2013

Some say it is dark...

Some say it is dark/Some say absence of light/It isn't matter what you call/In reality it is only night/In reality it is only night.....

Monday, February 25, 2013

Behisaab ha apni...

Behisaab hai apni aadto ki kahani/Kabhi khili kabhi murjhi rahi hai zindagani/Mujhe samajh kar gunaah kar diya tune/kayee raaz dabaakar chupayee thi nishaani/Mujhe qaid karne ki jarurat bhi na karna/Barf ki silli hai bankar bah jayegi paani/barf ki silli hai bankar bah jayegi paani....

Friday, February 15, 2013

Basant hai yaar.........

Machalti bahar,Khusnuma Sansaar,tera pyar/Swachand panchi,Gagan Chumbi,Veena ki jhankaar/Saakho mai phool,Galiyaaro ki dhool,Rimjhim bauchaar/Kyu na jhoome man Basant hai yaar/Kyu na jhoome man Basant hai yaar..............

Monday, February 11, 2013

Suni suni,ansuni....

Suni suni,ansuni dil ki ye baat hai/Rooh mai,safar mai har waqt sath hai/Aankho mai ghumad kar baraste hai aisi ki/Ye mere jazbaat hai,tere bhi jazbaat hai/Ye mere jazbaat hai,tere bhi jazbaat hai.....

Monday, January 28, 2013

Bahut cheekhte chillate hai bacche.......

Bahut cheekhte chillate hai bacche/Bhaur shor machate hai bacche/Apne aap ko kab tak door rakhoge/Dil mai hi bas jaate hai bacche/Tum apne haalaton se ladte raho/Haalaton par hi muskrate hai bacche/Haalaton par hi muskrate hai bacche....

Tuesday, January 22, 2013

Your presence will preserve...

So many things go side by side
I just wish you remain my beside
Bliss me,love me,enlighten me
Follow me when I am right.
So many things go round and round
Confusion occur at every night
The day might born again or not
I will be there or I may not.
Do not know the next moment
What has kept in her womb
Shall I think or do I not
Your presence will preserve my life
Your presence will preserve my life.

Sunday, January 13, 2013

Jai jai Makar Sankranti........

Pongal,Lohri aur Bhavranti/Sabke ghar mai samridhi aur shanti/Til ke laddu,gajak ki mehak/Khao piyo,a gayi Sankranti/Door ho saar bhranti/Jai jai Makar Sankranti/Jai jai Makar Sankranti.............

Thursday, January 10, 2013

Isi kashmakash mai....

Isi kashmakash mai guzar jati hai zindagi/Ki jana kahan hai aur karna kya hai/Isi jaddojehad mai ulajh jati hai zindagi/Tujhse lena kya hai,Mujhe dena kya hai..........

Tuesday, January 01, 2013

Nayee manzilon ki talaash mai...


Nayee manzilon ki talaash mai,nayee chahton ki aas mai/Nayee raah par aye hai hum/Nav jeevan ki pyas mai,Khusiyon ki barsaat mai/Tere sath chalne aye hai hum/Susankrit sansaar mai,Sangeet mai awaj mai/Nayee duniya basane aye hai hum........