Dhundh ki chaadar, hawa ke jhonke/Dhoop aur chaanv rehte jab ek dooje ke
hoke/Subah ki bela me girti boonde/Sur aur saaj se sajti
roohein/Zindagi khil jaye phoolo ki hoke/Zindagi khil jaye phoolo ki
hoke...
Sunday, December 14, 2014
Sunday, December 07, 2014
Chachahati huyi awaj...
Chahchahati huyi awaj/ Mridu lagti hai jab padti hai kaano me/Kuch awaje
geet ban jati hai/Kuch dil me bas jaati hai/Jab wo panchi khule gagan
me vicharta hai/Aur chahchahata hai/Maano saanso ne sargam ched di
ho/Tum sama jao meri aatma me/Tum sama jao meri aatma me..
Sunday, November 30, 2014
Kadmo tale jahaan ....
Kadmo tale jahaan rakha tha/Bada dilnasheen bachpan ka sapna
tha/Gumshuda ho gaye is bheed mein/Jo gair tha wo bhi apna tha/Baithe
baithe hi thak jate h ab to/Tab pata hi nahi tha kya thakna tha/Haalat e
mukaddar se roz ladte hai ab to/Jhagadte the bina haar, jeet ke kyunki
wo bachpana tha/Jhagadte the bina haar, jeet ke kyunki wo bachpana
tha...
Sunday, November 23, 2014
Pass kuch khushiyaan...
Paas kuch khusiyaan kuch gam baithe hai/Haalat-e-karam par hum saham
baithe hai/Zindgi tere galiyaare me phool aur kaante dono hai/Ashkon se
bhari aankhe liye nam baithe hai/Bahut pareshaan ho gayi hai rooh ab
to/Zindgi teri jaddojehad me bechain hum baithe hai/zindgi teri
jaddojehad me bechain hum baithe hai...
when you are in my mind...
When you are in my mind/Or lie somewhere in life's ground/Keep it sole
or keep it bind/How to search you or how to find/O my happiness
Zindagi me thehraav...
Zindagi me thehraav pani ki tarah hota hai/Therhar jata hai simat kar ek
gaddhe mein/Kabhi kabhi lagta hai ki bas yahi thehra rahega aur sookh
jayega/Par asha ki ek raah hi kaafi hoti/Usko chalayemaan karne
ko/Zindagi pani ki tarah hai/Thehraav aate aur phir chal padti hai kuch
pal paschaat.....
Sunday, November 16, 2014
Zindagi ki dhoop mein...
Zindagi ki dhoop mein chaaon taankta hu/Jo ik bacche mein tha wo
chulbulapan maangta hu/Bade to bahut ho gaye badon ki duniya mein/Aaj
bhi jeene ke liye bachpan talaasta hu/Aaj bhi jeene ke liye bachpan
talaasta hu....
Saturday, November 01, 2014
tumhati roj roj ki baate...
Tumhari roj roj ki baate/ Un baato me fariyaade/Fariyaade acchi lagti
hai/Dil ko satati yaade/Yaado ki tanha raate/Raate badi tadpati
hai/Aankho se kahi baate/Sunati hai dil ki kitaabe/Kitaabe unpadi si
lagti hai/Kitaabe unpadi si lagti hai..
Diya jalta rahe...
Diya jalta rahe, jalta rahe,jalta rahe/Man prajwallit banta rahe, banta
rahe,banta rahe/Khushiyo ke patakhe fatte rahe,fatte rahe,fatte
rahe/Diwali tera maan badta rahe,badta rahe,badta rahe...
Sabko Diwali ki bahut shubhkamnayein!!!
Sabko Diwali ki bahut shubhkamnayein!!!
Saturday, October 18, 2014
Aamkho ke noor pe...
Aankho ke noor pe sab simat gaya/Dil ne zidd ki aur sab lipat gaya/Tum
mujhe chaho na chaho tum jaano/Waqt ki dehleez pe mera sab tujhse lipat
gaya/Kabhi to ayega manzar jab samjhoge tum mujhe/Aarjuon ke darwajo me
baaki sab chimat gaya/Aarjuon ke darwajo me baaki sab chimat gaya.....
Wednesday, September 24, 2014
Mangal mangal mangal mangal....
Mangal mangal mangal mangal mangal ho/Bharat ne jab bheji hai maati to
kyu na mangal ho/saara vishwa nihaar raha aur pukaar raha mangal ho/Hum
bhi kahe, tum bhi kaho, mangal hi mangal ho/Mangal mangal mangal mangal
mangal ho.....
Tuesday, September 16, 2014
Tum badal gaye ho...
Kadam kadam par tum sambhal gaye ho/Gumnaam raasto mai tehal gaye ho
/Badi bekhauff hai zindagi khud to/Tum khauff mai rehkar pighal gaye
ho/Berukhi tune nibhayi thi zindagi humse muh modkar kar/Sunne ko hume
milta tum badal gaye ho/Sunne ko hume milta tum badal gaye ho.....
Sunday, September 07, 2014
Listen O Life....
Time may not be favorable/ Nor the stars may be/ Patience is the key, I know/ I will wait and wait and wait/ Till I crush you successfully/ I will fight like a warrior/ Neither you can depress me/ Nor can suppress me/Listen O Life/Listen O Life......
Friday, August 29, 2014
Ganpati Bappa morya...
Swagat
hai aapka humare dwaar/Karo kripa prabhu aprampaar/Vighn harta buddhi
daata, mangalkaari/Pratham vandan kare saara sansaar/Modak chadaave ,
phool, doob aur haar/Door karo Ganpati agyaan aur andhkaar/Ganpati Bappa
morya/Ganpati Bappa morya....
Wednesday, August 27, 2014
Kamyaabi ke rang...
kamyaabi
ke rang kuch is tarah chadne lage hai/Hum bhi badalne lage hai wo bhi
badale lage hai/Jo kabhi door se hi aankhe phir jaati thi dekhkar/Wo
najar baar baar aane lage hai,/Aksar humse takraane lage hai/Aksar humse
takraane lage hai.....
Saturday, August 23, 2014
Kya mein azaad hu...
Kya
mein azaad hu, wakayee mein azaad hu/Pucho tum khud se, Jakde ho tum
inse/Anaachaar, atyachaar, ahankaar haavi hain tumpe/ Rishwat, ghotala,
dango se aaj bhi barbaad hu/ Puch raha Hindustaan, wakayee main azaad
hu/Kya mein azaad hu, wakayee mein azaad hu....
Kaanch pe padti boonde...
Kaanch pe padti baarish ki boonde/Dhundhla kar deti hai sab kuch/ Jaise koi purani yaad dhundhli pad jati hai dil ke kissi kone mein/ Aur jab kaanch ko saaf karte hai unhi boondo se/ Sab spasht dikhayi dene lagta hai/ Purani yaade tarotaza ho jati hai aur aise lagta/ Jaise teekhi bhajiya ke ooper garam chai pee ho/Jaise teekhi bhajiya ke ooper garam chai pee ho....
Wednesday, August 20, 2014
Vandan Krishna tumko...
Raas
rachayo, prem paath padayo, hriday jagayo/ Andhkaar bhagayo, agyaan
mitayo, Geeta mukh sunayo/ Rishtey nibhayo, Jeevan mahatwa batayo,
Shristi rachayo/ Mridu bansi bajayo, Gauyein charayo, Maakhan khayo/
Vandan Krishna tumko, Kanha hari tumko/ Vandan Krishna tumko, Kanha hari
tumko.....
Sunday, August 03, 2014
Gurur jhukne nahi deta....
Gurur
jhukne nahi deta, aadat badalne nahi deti/ Nami to bahut hai, baarish
hone nahi deti/ Kitni jugaad karo, kitna karam karo khusiyaan paane ki/
Maut to kangaal hai, zindagi kharch karne nahi deti/ Ehsaaso me jeelo,
ya dil ko tatolo/ Bechani jeene nahi deti, tanhayi sone nahi deti/
Bechaini jeene nahi deti, tanhayi sone nahi deti...
Thursday, July 31, 2014
Eid mubarak...
Dikh
gaya Chaand, Hai aaj Eid/Khusiyaan manao, Sewai pe bheed/Dua hai yahi,
khush rahe sabhi/Bhul jao shikwe, haar aur jeet/Mushktshaat laaye,
roshan kare Eid/Mubarak mubarak eid mubarak/Mubarak mubarak eid
mubarak......
Saturday, July 19, 2014
kahi chappar faad ke....
Kahi
chappar faad ke barasta hai/Kahi boond boond ko tarasta hai/Koi kuch
paane ko har pal tadapta hai/Koi lutaane ke bahane dhundta hai/Tumhari
koshish jabardast thi par kya kare/Hota wahi hai jo naseeb me likha hota
hai/Hota wahi hai jo naseeb me likha hota hai....
Saawan ayo re..
Saawan
aayo re aayo re aayo re/Ghan ghan saawan aayo re/Garaj garaj barso tum
megha/Magan magan naache van mora/Jhoom jhoom jhoome man manchala/Jhool
jhool jhoole bachcho ka tola/Saawan aayo re aayo re aayo re....
Bikhar jata hai sab kuch...
Bikhar
jata hai sab kuch ek pal me/Jis khel me kabhi ajeye rahe the/Kabhi
khusiyaan ki bauchaar kar di thi/Kabhi muskrahaton ki chatta bikher di
thi/Ek chook aansuon me badal deti hai chehro ko/Sannate me badal jaati
hai josh se bhari cheekhe/Astitva bachana bhi naamumkin ho jata
hai/Zindagi khel ki tarah ek pal me kar deti hai astitvaheen/Zindagi ek
pal me kar deti hai astitvaheen...
Saturday, June 21, 2014
Bheed mai tha...
Bheed
mai tha aur tanha hota chala gaya/Jo apna tha wo bhi paraya hota chala
gaya/ Sab magroor the apne mai is laga bheed mai/ Chehre bahut dikh rahe
the par har koi begaana hota chala gaya/ Mai shikwa karu to kisse karu
aur kya karu/ Doosron ko dhundne mai mashroof tha aur khud ko khota
chala gaya/ Doosron ko dhundne mai mashroof tha aur khud ko khota chala
gaya......
Daayre mai hi ulajh kar....
Daayre
mai hi ulajh kar rah jaate hai log/ Daayre ke bahar nikle to aankho pe
chad jaate hai log/ Daayre mai simat jaaye to pichad jaate hai log/
Kabhi kissi ko todni hogi ye bandishe daayre ki/ Jo toot jaaye ye daayre
ki kadiyaan to khwabon ke aasmaano mai ud jaaye log/ Jo toot jaaye ye
daayre ki kadiyaan to khwaabon ke aasmano me ud jaaye log...
Saturday, June 07, 2014
Hadd paar kar gaya....
Hadd
paar kar gaya atyachaar/Din-b-din bad raha anachhar/Chaaro taraf macha
hahakaar/Kyu bhool raha insaan shishtachaar/Gar bhool gaya tu daayre
apna/Mit jaayega tera asititva apna/Sun dard me bilakhti cheekh
pukaar/Mat ban itna nirdayi yaar/Mat ban itna nirdayi yaar....
Thursday, May 29, 2014
Mere toote ghar ki....
Mere
toote ghar ki deeware/Mere adhoore sapno ki fariyaade/Khush hai apni
tanhayee main/ Dil ke jakhmo ki saugaate/ Bheegi aankho ki raate/ Khush
hai apni parchayee main/ Kuch bhooli kuch bisri yaade/ Kuch humari kuch
tumhari baate/ Khush hai apni ruswayee main/Khush hai apni ruswayee
main....
Sunday, May 18, 2014
Jeet aur haar...
Jeet
aur haar do pehlu zindagi ke/ Jeet badlaav lati hai/Kabhi abhimaan ki
vridhi mai/Kabhi nayee soch aur vyavhaar ki utpatti mai/Haar bhi laati
hai badlaav/Nirasha ke bhaavo ko/Ya phir Jeetne ki nayee chaaho ko/
Manushya ki samajhdari par nirbhar karta hai wo kya chunta hai....
Sunday, May 11, 2014
Maa ki dua hai....
Bharam tha kaabiliyat se shikhar choo liya/ Maa ne fariyaad ki aur asar ho gaya/ Do kos bhi na chal paate akele to hum/ Maa ne pakda haath hai poora safar ho gaya/ Kitni bhi rukawate aaye raaste mai aa jaayein/ Maa ki dua hai , burai tera khwaab be-asar ho gaya/Maa ki dua hai, burai tera khwaab be-asar ho gaya......
Saturday, May 10, 2014
Badi bhaag daud....
Badi bhaag daud hai yaha/Koi paise ke peeche bhaag raha/Koi naam hai/Koi mukaam ke/Koi armaan ke/Ek doosre ke peeche bhaag rahe hai log/Aur bhool gaye is bahagambhaag mai/Reh gaya peeche unka astitva,unki parchayee......
Wednesday, April 30, 2014
Bada tang karti hai zindagi..
Bada
tang karti hai zindagi/Bacche ki tarah/Kabi nochti hai baalo ki tarah
sawre rishto ko/Kabhi jidd karti hai aakarshit karte jaise khilone ko
paane ko/Aansu bahati hai naakabyaab hone par/Rooth jati hai hastato ke
khone par/Saham jaati hai nakaabi chehro par/Bada tang karti hai
zindagi....
Bhakt Hanumaan sa...
Bhakt Hanumaan sa/Bal Hanumaan sa/Buddhi, vivek, nirbheek Hanumaan sa/Jag me dooja nahi/Ajar,amar sankat mochan Hanumaan sa....
Saturday, April 12, 2014
Ram ki mahima....
Ram
ki mahima jagat nirali/Deen heen ki naiya taari/Maryada,vachan ka paath
padawa/Jeevan sukh banaye jo Ram ko manawa/Antah karan ke sab dosh
mitahi/Jo jan Ram naam gaawahi.....
Sunday, April 06, 2014
Samvednaaon mein....
Samvednaon
mein umadti hai zindagi/khwahishon pe tikti hai zindagi/Mauko pe
uchalti hai zindagi/Aage aage chalti hai zindagi/Saala jab bhi thak jao
to/Utha utha ke patakti hai zindagi/Utha utha ke patakti hai zindagi...
Hastiyaan..
Taaron
ki tarah timtimati hastiyaan/Pal bhar me mit jaati hastiyaan/parchayee
ke jaisi saath rehti/Shaam ki tarah dhal jaati hastiyaan/Guroor ki
aandhi uda le jati shaakho'n ko/Sapno ki tarah bikhar jaati
hastiyaan/Sapno ki tarah bikhar jaati hastiyaan....
Saturday, March 22, 2014
Thakaan hoti hai unko...
Thakaan
hoti hai unko jo thakna chahte hai/Wahi rote hai jo rona jaante
hai/Phool murjhakar bhi apni khusboo ni chodta/Zindgi haseen unko hai jo
jeena jaante hai/Faasle ho, na ho, kam ho ya jyada/Bafai wahi karte hai
jo rishto ko maante hai/Bafai wahi karte hai jo rishto ko maante
hai.....
Sunday, February 23, 2014
Wo sab kuch bhool jane ko....
Wo
sab kuch bhool jane ko maikhane me gaya/Gajab ye hua sab kuch yaad raha
khud ko bhool gaya/Tanhayee saath degi yaado me tamanna thi/Yaado ke
mele me ehsaaso pe jhool gaya.....
Sannate ko jab bhi....
Sannate
ko jab bhi cheda hai/Aandhiyo ne bhi rukh moda hai/Kis baat pe toofaan
itraate hai/Dariya me aake simat jaate hai/Guroor ne kisi ko nahi bakhsa
hai/Aasma ko bhi jhukna padta hai/Roshni ko cheerte saaye hai/Jab dil
par koi chot karta hai/Tab angaaro ka jwalamukhi umda hai/Sannate ko jab
bhi cheda hai......
Wednesday, February 05, 2014
Basant ki chaayi bahaar....
Gyaan
ka bhandaar, Saraswati ka uphaar, Prasanna chitt sansaar/Prakriti
susajjit, Bhool kar haar jeet, Sarso ki bayaar/Man ka gudgudana, Tera
aana jaana, Basant ki chaayi bahaar......
Sunday, January 26, 2014
Loktantra, Jantantra, Gantantra...
Loktantra,
Jantantra, Gantantra na rahe sirf paribhashit hi/Adhikaar mile har jan
ko, mile sushait hi/ Swatantrya adhikaar hai, rashtra vichaar hai/Desh
pragati sheel bane, ho nirashrit hi/Prasanna chitt ho man jaise lehraati
fasal hoti hai/Balidaan ki alakh jalti rahe, ho bal shaalit hi/
Balidaan ki alakh jalti rahe, ho bal shaalit hi....
Friday, January 24, 2014
Seekhna hai to....
Seekhna
hai to Prakriti se seekho/ Jeena hai to prakratik paridrashya me jiyo/
Soorya sa tez ho vyaktitva me/ Chaand si abha ho mukh pe/ Pawan si
sheetalta ho vyavhaar me/ Paani si vinamrata ho aachar me/Jeevan ki
jyoti jale prakriti tere tale/Jiyu to aisa jiyu/Main tujhe hi paaun, tu
mujhe hi mile/Main tujhe hi paaun, tu mujhe hi mile....
Wednesday, January 15, 2014
Makar ke soor...
Makar
ke soor, ladoo'n ka suroor/Patangbaaji, chal na saathi/Til ki aaye
khushboo.../ Dubki lagake, thand me nahake/Sardi bhaag jaati hai
door.../
Aarambh se ant...
Aarambh
se ant aur phir prarambh ka safar hai/Hum chale the jahan se wahan ka
safar hai/Timir bhi aaya,dhoop bhi aur chaaon bhi/Kuch kahani poori
huyi, kuch adhoori rahi/Khaali panne hai,syaahi hai/Likhna hai adhoore
sapno ko, anchuye palo ko/Ye saal shuru hua tha sooraj ki kiran se/Antim
shikhar ko chuyegi sooraj ki lalima hi/Par ye ant nahi,prarambh ki
sankalpana hai/Ye varsh pahuncha apne antim shikhar par/Aatur hai
baahein failaye swagat ko naya saal/Aatur hai baahein failaye swagat ko
naya saal....
Subscribe to:
Posts (Atom)