Sunday, January 26, 2014

Loktantra, Jantantra, Gantantra...

Loktantra, Jantantra, Gantantra na rahe sirf paribhashit hi/Adhikaar mile har jan ko, mile sushait hi/ Swatantrya adhikaar hai, rashtra vichaar hai/Desh pragati sheel bane, ho nirashrit hi/Prasanna chitt ho man jaise lehraati fasal hoti hai/Balidaan ki alakh jalti rahe, ho bal shaalit hi/ Balidaan ki alakh jalti rahe, ho bal shaalit hi....

Friday, January 24, 2014

Seekhna hai to....

Seekhna hai to Prakriti se seekho/ Jeena hai to prakratik paridrashya me jiyo/ Soorya sa tez ho vyaktitva me/ Chaand si abha ho mukh pe/ Pawan si sheetalta ho vyavhaar me/ Paani si vinamrata ho aachar me/Jeevan ki jyoti jale prakriti tere tale/Jiyu to aisa jiyu/Main tujhe hi paaun, tu mujhe hi mile/Main tujhe hi paaun, tu mujhe hi mile....

Wednesday, January 15, 2014

Makar ke soor...

Makar ke soor, ladoo'n ka suroor/Patangbaaji, chal na saathi/Til ki aaye khushboo.../ Dubki lagake, thand me nahake/Sardi bhaag jaati hai door.../

Aarambh se ant...

Aarambh se ant aur phir prarambh ka safar hai/Hum chale the jahan se wahan ka safar hai/Timir bhi aaya,dhoop bhi aur chaaon bhi/Kuch kahani poori huyi, kuch adhoori rahi/Khaali panne hai,syaahi hai/Likhna hai adhoore sapno ko, anchuye palo ko/Ye saal shuru hua tha sooraj ki kiran se/Antim shikhar ko chuyegi sooraj ki lalima hi/Par ye ant nahi,prarambh ki sankalpana hai/Ye varsh pahuncha apne antim shikhar par/Aatur hai baahein failaye swagat ko naya saal/Aatur hai baahein failaye swagat ko naya saal....