Wednesday, April 30, 2014

Bada tang karti hai zindagi..

Bada tang karti hai zindagi/Bacche ki tarah/Kabi nochti hai baalo ki tarah sawre rishto ko/Kabhi jidd karti hai aakarshit karte jaise khilone ko paane ko/Aansu bahati hai naakabyaab hone par/Rooth jati hai hastato ke khone par/Saham jaati hai nakaabi chehro par/Bada tang karti hai zindagi....

Bhakt Hanumaan sa...

Bhakt Hanumaan sa/Bal Hanumaan sa/Buddhi, vivek, nirbheek Hanumaan sa/Jag me dooja nahi/Ajar,amar sankat mochan Hanumaan sa....

Saturday, April 12, 2014

Ram ki mahima....

Ram ki mahima jagat nirali/Deen heen ki naiya taari/Maryada,vachan ka paath padawa/Jeevan sukh banaye jo Ram ko manawa/Antah karan ke sab dosh mitahi/Jo jan Ram naam gaawahi.....

Sunday, April 06, 2014

Samvednaaon mein....

Samvednaon mein umadti hai zindagi/khwahishon pe tikti hai zindagi/Mauko pe uchalti hai zindagi/Aage aage chalti hai zindagi/Saala jab bhi thak jao to/Utha utha ke patakti hai zindagi/Utha utha ke patakti hai zindagi...

Hastiyaan..

Taaron ki tarah timtimati hastiyaan/Pal bhar me mit jaati hastiyaan/parchayee ke jaisi saath rehti/Shaam ki tarah dhal jaati hastiyaan/Guroor ki aandhi uda le jati shaakho'n ko/Sapno ki tarah bikhar jaati hastiyaan/Sapno ki tarah bikhar jaati hastiyaan....