Thursday, May 29, 2014

Mere toote ghar ki....

Mere toote ghar ki deeware/Mere adhoore sapno ki fariyaade/Khush hai apni tanhayee main/ Dil ke jakhmo ki saugaate/ Bheegi aankho ki raate/ Khush hai apni parchayee main/ Kuch bhooli kuch bisri yaade/ Kuch humari kuch tumhari baate/ Khush hai apni ruswayee main/Khush hai apni ruswayee main....

Sunday, May 18, 2014

Jeet aur haar...

Jeet aur haar do pehlu zindagi ke/ Jeet badlaav lati hai/Kabhi abhimaan ki vridhi mai/Kabhi nayee soch aur vyavhaar ki utpatti mai/Haar bhi laati hai badlaav/Nirasha ke bhaavo ko/Ya phir Jeetne ki nayee chaaho ko/ Manushya ki samajhdari par nirbhar karta hai wo kya chunta hai....

Sunday, May 11, 2014

Maa ki dua hai....

Bharam tha kaabiliyat se shikhar choo liya/ Maa ne fariyaad ki aur asar ho gaya/ Do kos bhi na chal paate akele to hum/ Maa ne pakda haath hai poora safar ho gaya/ Kitni bhi rukawate aaye raaste mai aa jaayein/ Maa ki dua hai , burai tera khwaab be-asar ho gaya/Maa ki dua hai, burai tera khwaab be-asar ho gaya......

Saturday, May 10, 2014

Badi bhaag daud....

Badi bhaag daud hai yaha/Koi paise ke peeche bhaag raha/Koi naam hai/Koi mukaam ke/Koi armaan ke/Ek doosre ke peeche bhaag rahe hai log/Aur bhool gaye is bahagambhaag mai/Reh gaya peeche unka astitva,unki parchayee......