Saturday, October 24, 2015

Mada mein choor tha....

Mada mein choor tha ek sar Dashanan ka/Ahankaar se grashit tha dusra sar Raavan ka/Lobh, moh, krodh, vaasna se mukt hi safal jeevan hai/Bhakti, daya, prem mile hum sabhi ko Narayan ka/Bhakti, daya, prem mile hum sabhi ko Narayan ka...

Friday, September 25, 2015

Na usko pata chala...

Na usko pata chala, na mujhko pata chala/Kaun kiska shukrguzaar hai,dono ko na pata chala/Roshni bikher di us diye ne chaaron taraf ahista ahista/Kab andhera gayab hua, na hulchal huyi na pata chala/Gurur hona chahiye tha usko apne hunar par/Jis saadgi se usne sab apnaya, na shor hua na pata chala/Jis saadgi se usne sab apnaya,na shor hua na pata chala...

Andhkarmaye jeevan prakashit kar diya...

Andhkaarmaye jeevan prakashit kar diya/Guruvaani ne saara jeevan saatvik kar diya/Wo swayam ko dhundh raha tha idhar udhar/Uski swayam se pehchaan karakar aastik kar diya/Uski swayam se pehchaan karakar aastik kar diya....

Kisi ki maut ka intezaar hota hai..

Kisi ki maut ka intezaar hota hai/Kisi ke janaaje par jahan rota hai/Fark itna hai sirf/Koi dilon me jagah bana leta hai/Koi aankhon me khatakta hai...

Aisa matrabhakt Kalaam tha...

Rameshwaram ki dharti se nikla usko aakhri salaam tha/Hindustaan ke man me basa wo ek paawan naam tha/Matrabhumi ki sewa uska ek hi kaam tha/Hum sab ka pyaara aisa matrabhakt Kalaam tha/Hum sab ka pyaara aisa matrabhakt Kalaam tha...

Atankvaad ki talwaar..

Aatankvaad ki talwaar lahoo luhaan karti hai/Jisko kata use bhi/Jisne kaata use aur uski naslo ko bhi...

Bade khoobsurat chehre hote hai...

Bade khoobsurat chehre hote hai/Saamne tareefon ke pull baandhte hai/Aag laga dete hai usi pull me peeth piche/Dhuaan chaaron or aasman me chaa jata hai uska/Dhuaan chaaron or aasman me chaa jata hai uska...

Tumne dekhe hoge kayee chehre..

Tumne dekhe hoge kayee chehre/Na dekhe hoge unke piche chipe chehre/Shaam to dekhi dhoomil lagti hai/Raat na dekhi andheri lagti hai/Dariya me pani bahut hai magar/Khaarepan me lehar tair rahi hai/Khaarepan me lehar tair rahi hai....

Subah subah ki baarish..

Subah subah ki baarish/Aur akhbaar ki sifaarish/Badi acchi lagti hai/Tumhari aankhon ki saajish/Raahat deti badan ko maalish/Badi acchi lagti hai/Khwaabon ka buna taana baana/Ek pyaali chai ki guzaarish/Badi acchi lagti hai...

Rukh tune uthaya ae zindgi...

Rukh tune uthaya ae zindgi/Hum tere kaayal ho gaye/Teri muskaan ke noor me/Hum dil se ghaayal ho gaye/Kitna khoobsurat ho gaya ye jahan/Jaise saawan me ghanghor badal ho gaye/Jaise saawan me ghanghor baadal ho gaye...

Girna sambhalna zindagi hai...

Girna, sambhalna zindgi hai/Kabhi door kabhi pass khadi hai/Josh na gawao hosh ke saath/Iski yahi khoobsoorat ladi hai/Patjhad si murjhi kabhi to/Kabhi bahar bankar bikhri hai/Kabhi bahar bankar bikhri hai...

Kisi ke paas samay nahi hota...

Kisi ke paas samay nahi hota/Kisi ko samay nahi milta/Jab samay nikalta hai tab sabra nahi hota/Auron se mile to hairat hai/Khud se milne ka jikra hi nahi hota/Khud se milne ka jikra hi nahi hota.....

Pehli baarish, pehla pyaar..

Pehli baarish, pehla pyaar/Ek cup chai aur mera yaar/Jeevan ki gutthi, ghar sansaar/Baahon me ab to aaja O mere yaar/Baahon me ab to aaja O mere yaar...

Maano to dua hai...

Maano to dua hai/Warna haath to utha hai/Ye kaisi ada hai ya teri raza hai/Need ka aalam hai/Raat ka nasha hai/Jo khud me sama hai/Wo tu hai ya hawa hai/Wo tu hai ya hawa hai

Kisi ko aas na mili...

Kisi ko aas na mili/Kisi ko aashiyaana na mila/Jo mila wo batane ka bahaana na mile/Tumne waqt nikal kar haalat jaanch liye/Hume to waqt ka afsaanana bhi na mila/Safar lamba hai taye karna hai aye zindagi/Is daud me na waqt mila na waqt ka muskrana mila/Is daud me na waqt mila na waqt ka muskrana mila......

Sunday, April 05, 2015

Ek hi satya...

Ek hi satya hai na koi rahasya hai sansaar mein/Ram naam sampoorna hai maanav ke uddhaar mein/Prem, tyaag, saatvikta ka pramaan hai Ram/Tu hi palankarta, tu hi sahara jeevan ki majhdhaar mein/Ram tujhmein bhi mujhmein bhi aur maanavta ke pyaar mein/Ram tujhmein bhi mujhme bhi aur manavta ke pyaar mein....

Jeetna to ....

Jeetna to har koi chahta hai/Koi cricket ke match ko/Koi dilo'n ko/Koi zameen ki gehrai ko/ Koi aakash ki unchai ko/Par jo jeet jata hai apne antahakarn ko/Apni aatma ko/Jeet uski kshanbhangur nahi reahti/Chiranjeev ho jati hai wo jeet/Chiranjeev ho jati hai wo jeet....

Subah ki kiran...

Subah ki kiran si aashayein/ Madham madham jhoolti shaakhayein/ Tumhari muskrahaat par machalti hai/ Taaron se saji aakash gangayein/ Andhiyaare me roshan karti chandni samayein/ Tumhari aahon par marti hai/ Kal kal ka shor karti leharein sunayein/ Mridu geet apne hothon par sajaayein/ Tumhari hi tareef karti hai/Tumhari hi tareef karti hai....

Friday, March 06, 2015

Gaal gulaabi, nain sharaabi...

Gaal gulaabi, nain sharaabi, sabki mastanichaal/ Rang ka chade, bhang ka chade, jaana holi ka dhamaal/ Man ka meet, dhol aur sangeet, gori tera kamaal/ Dil ki jeet, piya ki preet, karde bechain haal/Ekmain aur ek tu, hum do aur ek rooh/Rangeen rahe, khushiyo sang bahe, saal dar saal/ Rangeen rahe, khushiyon sang bahe, saal dar saal....

Sunday, January 11, 2015

Kaisi kaisi raahein...

Kaisi kaisi raahein, kaisi kaisi manzilein/Tum saath do to hum kahi bhi chalein/Chaale pad bhi jaaye pairo me to kya gam hai/Aankho me aansu ho,dil se hanslein/Girti, sambhalti is duniya me jab mein giru/Tum thaam lena haath jab kadam ladkhadayein/Tum thaam lena haath jab kadam ladkhadayein.....

When the mind is stateless...

When the mind is stateless and heart is fearless, When there left nothing to achieve and everything is ready to loose, When you don't know what you mean and act like as a teen/O dear you have again become the child/O dear you have again become the child...

Thursday, January 01, 2015

Nayee subah ki...

Nayi subah ki nayee kiran/Bhigoye tan, man aur jeevan/ Antaha karan mai utar kar/ nav varsh ho jagmag jagmag/Saath chalo har kadam mere tum/Ishwar kripa apaar ho sabpe pe hum/Ishwar kripa apaar ho sabpe hum.....

Its cloudy and cool...

Its cloudy and cool/ Two thousand fourteen ends in wool/ You stayed in my heart/Added me in your cart/Live, love and shout loud/We are having on you proud/Bye bye fourteen forever/Fifteen is awaiting for you dear/Fifteen is awaiting for you dear...