Tuesday, July 01, 2008

badlaav

din badal jaate hain ratein dhal jaati hain/har naam ke saath baatein badal jaati hain/wo kuch baawle hote hain jo nahi badalte/warna yahan to zindagi bhi badal jaati hai

zindagani

kahin kishti hai kahin pani hai/kahin manzil hai kahin jawani hai/rok sako to rok lo yahi apni zindgaani hai

har taraf

har taraf dhuan hai/har taraf sannata hai/zindagi ke pairon main ghungroon se naata hai/baaje re cham cham baaje re chaam cham aur nachaye har dum

zindagi na gum hai....

zindagi na gam hai/na judai hai/ye humari neeyat ki khai hai/jo jaisa karta hai waisa bhogta hai/baaki sub to rab ki duhai hai

kuch cheegein.....

kuch cheegein badal kar bhi nahi badalti/kuch raahein ek hi manzil par nikalti/na ishmain kuda kuch kar sakta hai/na sagar ki laherin rok sakti hai

asar

hum safar to bahut mil jaayenge/woh jigar chahiye/saathi bahut mil jaayenge woh nazar chahiye/kahan se aayegi woh zindagi ke tohfe/jo waqt ko rok de woh asar chaiye

taqdeer

taqdeer to muqaddar ka khel hai /khelegi hi zindagi/ye apna hi jigar hai /jee legi zindagi/kaho to aaj zindagi ka daaman chod doon/wo zehar bhi amrit hai pee legi zindag