Saturday, August 21, 2010

haqeeqat ki duniya............

haqeeqat ki duniya mai gum hai andhera hai bewafai hai/ lakho ke arman toote ye jannat bewafa harjai hai/mujhe jeene de khwabo ki duniya mai mai khush hu/jahan khushi to nahi par khushi ki parchayee hai

Sunday, August 15, 2010

dil ke kone se.............

dil ke kone se awaj ayi hai/dosto mai dikhi khushi ki parchayi hai/rishta lagta resham ki dor se bandha ho/ek chehre ki khushi doosre ki ankho se ayi hai/na koi bandhan hai na koi bandish/ye rishta azad panchi hai/kahin aur hawa chali aur kahi aur khushboo ayi hai........

Thursday, August 05, 2010

mausam badal jate hai.........

mausam badal jate hai /fizayein badal jati hai/ surkh khwabo ki hawayein badal jati hai/sawalo ke samundar se jawabo ke moti churaye the/jab jawab mila to sawal badal jate hai/aksar hum chahte hai kuch milta hai kuch/kabhi chahat milti nahi kabhi chahate badal jati hai............

Sunday, August 01, 2010

dosti ho in jaisi.........

dosti ho in jaisi yaar/dhakkan bin dabba adhura,dabba bin dhaakn bekar/tu mujhe dhak mai tujhe sambhalu/dosti apni duniya mai bemisal /dosti apni duniya mai bemisal.........

Wednesday, July 28, 2010

jeth ki garmi..........

jeth ki garmi mai dharti tapi hai/asma ki ankho mai nami hai/mohobbat itni gehri thi asma rok na paya/sawan mai asma ki ankhe barsi hai/sawan mai asma ki ankhe barsi hai.........

Thursday, July 08, 2010

ankho ki palko........

aankho ki palko ke pehre se aansu behne ko rehta hai/rishto ki qaid se ye dil azad hone ko kehta hai/isi khayal mai jite hai log/bade hokar panchi jaise azad hokar udege /par baccho ki dekh kar duniya man baccha hone ko karta hai/par baccho ki dekh kar duniya man baccha hone ko karta hai.........

Saturday, July 03, 2010

barish se kaho ............

barish se kaho jaldi aa jaye/mera man joro se chillaye/ab to bahut ho gaya intezaar/aake garmi se nijaat dila jaye/mehekne de mitti ki bheeni khushboo/ek cup chai aur pakodo ki justju/ab aur na tadpa baarish tu jaldi aja/ab aur na tadpa baarish tu jaldi aja.......