Wednesday, July 04, 2012

Bhulne se koi.....

Bhulane se koi bhulta nahi hai/ Jab kuch yaad ata hai to kuch soojhta nahi hai/Boonde to pani ki giri thi mere ooper/Sawan hai par ab dil jhoolta nahi hai/Mausmi barsaat phir satane lagi hai/Pehle tujhe milne ko tadapta tha, ab kissi ko dhudta hi nahi hai/Pehle tujhe milne ko tadapta tha, ab kissi ko dhudta hi nahi hai.............

Monday, June 25, 2012

Wo school ki yaade....

Wo school ki yaade,kitaabo ki barsaate/Aankho mai nami,teacher ki chuan/Din pehla school ka,padne chale the jab hum/Najrein dhunti mum,par na dikhe tum/Din pehla school ka, padne chale the hum......

Thursday, June 21, 2012

Kabhi khushi ki yaado se...

Kabhi khushi ki yaado se badke aage/Kabhi ghar ke aangan ke kadmo ke saaye/Kabhi muskrahat labon pe chaaye/Kabhi haatho ko tere thaam jaye/Yaade haqeeqat ban jati/Sab saath milkar jo gungunaye/Sab saath milkar jo gungunaye....

Thursday, June 14, 2012

Wo raaste banate rahege..........

Logo ki aarju dil mai thi/Ye siyasat wale kya samjhege/Fate cheethdo mai gareeb ki jhopdi/Dekhne wale bas dekhte rahege/Jise pata hi nahi manzil kya hai/Wo raaste banate rahege/Wo raaste banate rahege.......

Thursday, May 31, 2012

Aksar sehro mai gum jate hai log......

Aksar shehro mai gum jate hai log/Par mit jati hai unki sahanbhuti, mar jati hai antaraatma aisa pata na tha/ Chand ki chandni bhi dhumil padti hai suraj ki tez dhoop mai, par phir bhi wo chamakta rehta hai raat ke andhero mai,sheetalta pradan karte huye logo ko/Phir kyu mar jati hai logo ki samvedna usi sehar mai rahkar jahan har raat chand roshan karta hai usi sehar ko/Lagta hai logo ko sooraj se prerna milti hai jalne ki /ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab/ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab.......

Sunday, May 13, 2012

Maa har pal yaad......

Maa har pal yaad karti hai/Kabhi sajda kabhi fariyaad karti hai/Ansu na a jaye meri aankho mai/Khud rokar din raat karti hai/Khusi ka khana mai akela kha gaya/Gam ka naasta wo mere sath karti hai/Gam ka naasta wo mere sath karti hai........

Saturday, May 05, 2012

Kitaabon ke panno mai....

Kitaabon ke panno mai likhi wo likhawat hai/Baithak ki almaari mai saji wo sajawat hai/Tere noor se nahi hattti hai ab aankhe/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai.....