Saturday, April 12, 2014

Ram ki mahima....

Ram ki mahima jagat nirali/Deen heen ki naiya taari/Maryada,vachan ka paath padawa/Jeevan sukh banaye jo Ram ko manawa/Antah karan ke sab dosh mitahi/Jo jan Ram naam gaawahi.....

Sunday, April 06, 2014

Samvednaaon mein....

Samvednaon mein umadti hai zindagi/khwahishon pe tikti hai zindagi/Mauko pe uchalti hai zindagi/Aage aage chalti hai zindagi/Saala jab bhi thak jao to/Utha utha ke patakti hai zindagi/Utha utha ke patakti hai zindagi...

Hastiyaan..

Taaron ki tarah timtimati hastiyaan/Pal bhar me mit jaati hastiyaan/parchayee ke jaisi saath rehti/Shaam ki tarah dhal jaati hastiyaan/Guroor ki aandhi uda le jati shaakho'n ko/Sapno ki tarah bikhar jaati hastiyaan/Sapno ki tarah bikhar jaati hastiyaan....

Saturday, March 22, 2014

Thakaan hoti hai unko...

Thakaan hoti hai unko jo thakna chahte hai/Wahi rote hai jo rona jaante hai/Phool murjhakar bhi apni khusboo ni chodta/Zindgi haseen unko hai jo jeena jaante hai/Faasle ho, na ho, kam ho ya jyada/Bafai wahi karte hai jo rishto ko maante hai/Bafai wahi karte hai jo rishto ko maante hai.....

Sunday, February 23, 2014

Wo sab kuch bhool jane ko....

Wo sab kuch bhool jane ko maikhane me gaya/Gajab ye hua sab kuch yaad raha khud ko bhool gaya/Tanhayee saath degi yaado me tamanna thi/Yaado ke mele me ehsaaso pe jhool gaya.....

Sannate ko jab bhi....

Sannate ko jab bhi cheda hai/Aandhiyo ne bhi rukh moda hai/Kis baat pe toofaan itraate hai/Dariya me aake simat jaate hai/Guroor ne kisi ko nahi bakhsa hai/Aasma ko bhi jhukna padta hai/Roshni ko cheerte saaye hai/Jab dil par koi chot karta hai/Tab angaaro ka jwalamukhi umda hai/Sannate ko jab bhi cheda hai......

Wednesday, February 05, 2014

Basant ki chaayi bahaar....

Gyaan ka bhandaar, Saraswati ka uphaar, Prasanna chitt sansaar/Prakriti susajjit, Bhool kar haar jeet, Sarso ki bayaar/Man ka gudgudana, Tera aana jaana, Basant ki chaayi bahaar......