Saturday, October 18, 2014

Aamkho ke noor pe...

Aankho ke noor pe sab simat gaya/Dil ne zidd ki aur sab lipat gaya/Tum mujhe chaho na chaho tum jaano/Waqt ki dehleez pe mera sab tujhse lipat gaya/Kabhi to ayega manzar jab samjhoge tum mujhe/Aarjuon ke darwajo me baaki sab chimat gaya/Aarjuon ke darwajo me baaki sab chimat gaya.....

Wednesday, September 24, 2014

Mangal mangal mangal mangal....

Mangal mangal mangal mangal mangal ho/Bharat ne jab bheji hai maati to kyu na mangal ho/saara vishwa nihaar raha aur pukaar raha mangal ho/Hum bhi kahe, tum bhi kaho, mangal hi mangal ho/Mangal mangal mangal mangal mangal ho.....

Tuesday, September 16, 2014

Tum badal gaye ho...

Kadam kadam par tum sambhal gaye ho/Gumnaam raasto mai tehal gaye ho /Badi bekhauff hai zindagi khud to/Tum khauff mai rehkar pighal gaye ho/Berukhi tune nibhayi thi zindagi humse muh modkar kar/Sunne ko hume milta tum badal gaye ho/Sunne ko hume milta tum badal gaye ho.....

Sunday, September 07, 2014

Listen O Life....

Time may not be favorable/ Nor the stars may be/ Patience is the key, I know/ I will wait and wait and wait/ Till I crush you successfully/ I will fight like a warrior/ Neither you can depress me/ Nor can suppress me/Listen O Life/Listen O Life......

Friday, August 29, 2014

Ganpati Bappa morya...

Swagat hai aapka humare dwaar/Karo kripa prabhu aprampaar/Vighn harta buddhi daata, mangalkaari/Pratham vandan kare saara sansaar/Modak chadaave , phool, doob aur haar/Door karo Ganpati agyaan aur andhkaar/Ganpati Bappa morya/Ganpati Bappa morya....

Wednesday, August 27, 2014

Kamyaabi ke rang...

kamyaabi ke rang kuch is tarah chadne lage hai/Hum bhi badalne lage hai wo bhi badale lage hai/Jo kabhi door se hi aankhe phir jaati thi dekhkar/Wo najar baar baar aane lage hai,/Aksar humse takraane lage hai/Aksar humse takraane lage hai.....

Saturday, August 23, 2014

Kya mein azaad hu...

Kya mein azaad hu, wakayee mein azaad hu/Pucho tum khud se, Jakde ho tum inse/Anaachaar, atyachaar, ahankaar haavi hain tumpe/ Rishwat, ghotala, dango se aaj bhi barbaad hu/ Puch raha Hindustaan, wakayee main azaad hu/Kya mein azaad hu, wakayee mein azaad hu....