Maano to dua hai/Warna haath to utha hai/Ye kaisi ada hai ya teri raza hai/Need ka aalam hai/Raat ka nasha hai/Jo khud me sama hai/Wo tu hai ya hawa hai/Wo tu hai ya hawa hai
Friday, September 25, 2015
Kisi ko aas na mili...
Kisi ko aas na mili/Kisi ko aashiyaana na mila/Jo mila wo batane ka bahaana na mile/Tumne waqt nikal kar haalat jaanch liye/Hume to waqt ka afsaanana bhi na mila/Safar lamba hai taye karna hai aye zindagi/Is daud me na waqt mila na waqt ka muskrana mila/Is daud me na waqt mila na waqt ka muskrana mila......
Sunday, April 05, 2015
Ek hi satya...
Ek hi satya hai na koi rahasya hai sansaar mein/Ram naam sampoorna hai maanav ke uddhaar mein/Prem, tyaag, saatvikta ka pramaan hai Ram/Tu hi palankarta, tu hi sahara jeevan ki majhdhaar mein/Ram tujhmein bhi mujhmein bhi aur maanavta ke pyaar mein/Ram tujhmein bhi mujhme bhi aur manavta ke pyaar mein....
Jeetna to ....
Jeetna to har koi chahta hai/Koi cricket ke match ko/Koi dilo'n ko/Koi zameen ki gehrai ko/ Koi aakash ki unchai ko/Par jo jeet jata hai apne antahakarn ko/Apni aatma ko/Jeet uski kshanbhangur nahi reahti/Chiranjeev ho jati hai wo jeet/Chiranjeev ho jati hai wo jeet....
Subah ki kiran...
Subah ki kiran si aashayein/ Madham madham jhoolti shaakhayein/ Tumhari muskrahaat par machalti hai/ Taaron se saji aakash gangayein/ Andhiyaare me roshan karti chandni samayein/ Tumhari aahon par marti hai/ Kal kal ka shor karti leharein sunayein/ Mridu geet apne hothon par sajaayein/ Tumhari hi tareef karti hai/Tumhari hi tareef karti hai....
Friday, March 06, 2015
Gaal gulaabi, nain sharaabi...
Gaal gulaabi, nain sharaabi, sabki mastanichaal/ Rang ka chade, bhang ka chade, jaana holi ka dhamaal/ Man ka meet, dhol aur sangeet, gori tera kamaal/ Dil ki jeet, piya ki preet, karde bechain haal/Ekmain aur ek tu, hum do aur ek rooh/Rangeen rahe, khushiyo sang bahe, saal dar saal/ Rangeen rahe, khushiyon sang bahe, saal dar saal....
Sunday, January 11, 2015
Kaisi kaisi raahein...
Kaisi kaisi raahein, kaisi kaisi manzilein/Tum saath do to hum kahi bhi
chalein/Chaale pad bhi jaaye pairo me to kya gam hai/Aankho me aansu
ho,dil se hanslein/Girti, sambhalti is duniya me jab mein giru/Tum thaam
lena haath jab kadam ladkhadayein/Tum thaam lena haath jab kadam
ladkhadayein.....
Subscribe to:
Posts (Atom)