Friday, September 25, 2015

Subah subah ki baarish..

Subah subah ki baarish/Aur akhbaar ki sifaarish/Badi acchi lagti hai/Tumhari aankhon ki saajish/Raahat deti badan ko maalish/Badi acchi lagti hai/Khwaabon ka buna taana baana/Ek pyaali chai ki guzaarish/Badi acchi lagti hai...

Rukh tune uthaya ae zindgi...

Rukh tune uthaya ae zindgi/Hum tere kaayal ho gaye/Teri muskaan ke noor me/Hum dil se ghaayal ho gaye/Kitna khoobsurat ho gaya ye jahan/Jaise saawan me ghanghor badal ho gaye/Jaise saawan me ghanghor baadal ho gaye...

Girna sambhalna zindagi hai...

Girna, sambhalna zindgi hai/Kabhi door kabhi pass khadi hai/Josh na gawao hosh ke saath/Iski yahi khoobsoorat ladi hai/Patjhad si murjhi kabhi to/Kabhi bahar bankar bikhri hai/Kabhi bahar bankar bikhri hai...

Kisi ke paas samay nahi hota...

Kisi ke paas samay nahi hota/Kisi ko samay nahi milta/Jab samay nikalta hai tab sabra nahi hota/Auron se mile to hairat hai/Khud se milne ka jikra hi nahi hota/Khud se milne ka jikra hi nahi hota.....

Pehli baarish, pehla pyaar..

Pehli baarish, pehla pyaar/Ek cup chai aur mera yaar/Jeevan ki gutthi, ghar sansaar/Baahon me ab to aaja O mere yaar/Baahon me ab to aaja O mere yaar...

Maano to dua hai...

Maano to dua hai/Warna haath to utha hai/Ye kaisi ada hai ya teri raza hai/Need ka aalam hai/Raat ka nasha hai/Jo khud me sama hai/Wo tu hai ya hawa hai/Wo tu hai ya hawa hai

Kisi ko aas na mili...

Kisi ko aas na mili/Kisi ko aashiyaana na mila/Jo mila wo batane ka bahaana na mile/Tumne waqt nikal kar haalat jaanch liye/Hume to waqt ka afsaanana bhi na mila/Safar lamba hai taye karna hai aye zindagi/Is daud me na waqt mila na waqt ka muskrana mila/Is daud me na waqt mila na waqt ka muskrana mila......