Wednesday, January 28, 2009

kabhi zindagi mai........

kabhi zindagi mai niras mat hona/thodi se asfalta se hatash mat hona/zindagi to jung hai jeetni hai humein/ansuon pe kabhi mohtaaz mat hona

Wednesday, January 14, 2009

gam wo yaar hai..........

gam wo yaar hai jhalak aata hai chehre par/jab tootta hai dil nikhar aata hai chechre par/kaise roku mai ish yaar ko paas aane se/ye bewafa nahi hai chaap chod jaata hai chehre par

jinhein pyar na ...........

jinhein pyar na naseeb hua unse pucho/jinhein milkar bhi naseeb na hua unse pucho/kya gujarti hai dil par jab tootta hai dil/jinke naseeb ne hi dhikkara unse pucho.........

Sunday, January 11, 2009

waqt badalta hai.......

waqt badalta hai/zindagi badalti hai/raat har roz yahan dhalti hai/kuch zidd karo kuch wish karo/aap badalte hai soch badalti hai

Monday, January 05, 2009

kabhi gam marta hai...........

kabhi gam maarta hai kabhi zindagi maarti hai/bahut kam hota hai jab zindagi haarti hai/magar haarti hai zindagi ye bhi sach hai/aisa aksar hota hai hum marte hai zindagi nahi maarti hai

Saturday, December 13, 2008

har kissi se......

har kissi se galti ho jaati hai/kabhi chotti kabhi badi ho jaati hai/par sudharne ka mauka milna chahiye/kyu ye galatfahmi jabardasti ho jaati hai

Friday, December 05, 2008

na choda hai rone ko........

na choda hai rone ko na hansne hi diya mujhko/na maara hai phir bhi kya toda hai mujhko/kuch to raham khayee hoti to tera kya jaata/na loota hai tune na lutne se bachaya mujhko