Thursday, January 28, 2010

madam dhoop............

madham dhoop,hare patte,phoolo ki khushboo/tera saath,chai ka swad aur thodi si guftgu/aankho mein khwab,dil mai junoon/bas itni si hai basant mai arjoo/bas itni si hai basant mai arjoo

Tuesday, January 19, 2010

aankhein na pado........

aankhein na pado jyaada dhoka de jaayegi/chehre ki masumiyat ko nisana banayegi/hoth to phir bhi lafzo ko bolte hai/dhadkan apni kahani ka kissa dil se batayegi

Friday, January 15, 2010

jaante nahi hum..........

jaante nahi hum kal ki khabar/par rehta humpar kyu ishka asar/jo hona hai ushe hone do/phir bhi rote rehte ise lekar/yahi kaafi hai muskan udane ko/chalo jiye aaj sab kuch bhoolkar/chalo jiye aaj sab kuch bhoolkar.......

Wednesday, December 23, 2009

ek rishta jo........

ek rishta jo zindagi ko badal deta hai/dil ke dariya mai aaho ko udel deta hai/dosti name hai ush khuda ko paane ka/saath ho yaar ka to dariya bhi rahein badal deta hai

Wednesday, December 16, 2009

sehne ki bhi..........

sehne ki bhi ek had hoti hai/mujh par meri zindagi roti hai/aas bhi ab tootne lagi hai/din ke baad raat bhi hoti hai

Friday, December 04, 2009

waqt ke dil mai........

waqt ke dil mai jaane kya hai chipa/kisi ke liye moti hai chipe kissi ke liye aahon ka hai dariya/waqt rootha ho gar to manaye kaise/koi khushi mai dooba kissi ke aansu jeene ka jariya

Sunday, November 22, 2009

chand ashiq hai..........

chand ashiq hai,deewana hai pagal hai/jo raat mai jaagta aur din mai sota hai/manna chamakta hai par chandni ki dum par/jo bhi ho, yaar chand mai bhi daag hota hai