Monday, June 27, 2011
andhero se kyu....
andhero se kyu ghabrata hai tu/tu jaanta hai phir kyu satata hai tu/aksar dil se kyu rulata hai tu/gam ka jaam kyu pilata hai tu/mujhe jeene hai roshan shama mai/phir shama ko kyu bujhata hai tu/phir shama ko kyu bujhata hai tu....
Friday, June 24, 2011
sun jara......
sun jara dhadkano ki jubaan/choom jara manzilo ka aasman/tham jara baariso ka kaarwan/ban jane de pariyo ka jahan/ banne de mere khwabo ka nishaan/banne de mere khwabon ka nishaan......
Friday, June 10, 2011
Mausam hai suhana suhana.....
mausam hai suhana suhana/gam saare mita jana/boondo mai hai ek kahani/dil jhoome deewana deewana/baarish ki fuhaaro mai/dhoom machaye saara jamana/mausam hai suhana suhana...........
Wednesday, June 01, 2011
kiske saaye mai palti.....
Kiske saye mai palti hai khushiyan/ wo daman wo jagah mujhe bata de/sabhi mujhe lagte yahan khush nahi hai/mere rahbar, mere hakeem mujhe safaa de/aafto ke hi daur dikhte hai/jahan mile sukoon wo raahe dikha de/jahan mile sukoon wo raahe dikhade.....
Friday, May 20, 2011
mujhe nahi pata mai.....
mujhe nahi pata mai kahan hoon/khud mai samaya hoon ya khwab mai rama hoon/aks jaise picha nahi chodta kabhi kissi ka/main haal-e-dil ka khud raazdaan hoon/mujhe qaid na kar tu bandisho mai ae/mai kayee ehsaaso ka akela kaarwan hoon/mai kayee ehsaaso ka akela kaarwan hoon.....
Thursday, May 19, 2011
jhulasta hai sooraj...
jhulasta hai sooraj roshni dene ko/jaagta hai chaand andhiyara mitane ko/toofano ki gustakhi tum dekho/koi kasar na chodi phoolo ko satane ko/mitti se khuhbu bheeni bheeni ati hai/baadal bekarar hai boonde tere daaman mai chupane ko/mere man tu kyu itna tadap raha hai/har din badalta hai teri yaade jalane ko/har din badalta hai teri yaade jalane ko.......
Thursday, May 12, 2011
sure saje hai awaj....
sur saje hai awaj dhoondna hai/sawaal gehre hai jawab dhoondna hai/mere antahkaran mai jhaankti hai kayee parchayaan/need ke aanchal mai khwaab dhoondna hai/sajti hai mehfile kuch waqt ke liye/jo dhadkano mai samaye wo saaj dhundna hai/jo dhadkano mai samaye wo saaj dhoondna hai......
Subscribe to:
Posts (Atom)