Friday, December 20, 2013

Har roj ek jaisi....

Har roj ek jaisi kahani nahi hoti/Badalti hai roj naye swaad ke sath/Kabhi khatta, kabhi meetha,kabhi kadwa/Badalta rehta hai zindagi ka falsafa bhi/Roshi madham padti hai diye ki bhi/Baati bhi jalti hai/Jaruri hai Tel mai bhigo kar baati ko rakhna/Bujhne se roke rakha jitni der tak rakh sake/kahani to badalti rahegi har roj.........

Wednesday, December 11, 2013

Hansi thahako mai shamil....

Hansi thahako me shaamil hona padta he/Hansi ke maare ghayal hona padta he/Zindagi bahut chotti he yaar/Dosto ki zamaat me paagal hona padta he/Bas yaad reh jayege waqt ke kuch kisse /Aise kuch lamho ka kaayal hona padta he/Aise kuch lamho ka kaayal hona padta he...

Wednesday, December 04, 2013

Badi klisht hoti hai zindagi ki kahani.....

Badi klisht hoti hai zindagi ki kahani/kabhi kissi ki chahat mai simat kar reh jati hai/Kabhi kissi ke algaaw me bikhar jaati hai/Phoolo se naajuk bhi hai aur patthar si kathor bhi/Jaane kab ashk beh jaaye aur jaane kab muskrahat ki chatta bikhar jaaye/Subah ki laalima thandak deti hai aankho ko/Dopehar ki dhoop chubhan/Saanse kab toot jaaye/Kab roshni andhere mai badal jaaye andaaza lagaana mushkil hai/Badi klisht hoti hai zindagi ki kahani............

Tuesday, November 26, 2013

Yaad rakhne ki parwaah kaun kare...

Tum apne mai hi magroor raho/Jahan ki parwaah kaun kare/Ye hai,wo hai,tum ho sochne wale/Jamane ki parwaah kaun kare/Tumhe rukne ki kahan fursat hai/Saaye ki parwaah kaun kare/Tum bhoolo na bhoolo ye tum socho/Yaad rakhne ki parwaah kaun kare/Tum bhoolo na bhoolo ye tum socho/Yaad rakhne ki parwaah kaun kare....

Sunday, November 24, 2013

Jab aata hai Sunday yaar....

Jab aata hai sunday yaar,nikal jaata din saara/Hafte bhar ka tha bukhaar,nikal jaata din saara/Kaam ki badti maar,nikal jaata din saara/Sone ka tha bhoot sawaar,nikal jaata din saara/Yaad aata Somvaar,nikal jaata din saara/Jab jab aaye Itvaar,nikal jaata din saara/Jab jab aaye Itvaar,nikal jaata din saara.......

Thursday, November 14, 2013

Waqt ki raftaar bhi huyi....

Jeet bhi huyi haar bhi huyi/Pyaar ke sath takraar bhi huyi/Bachpan ki baate hai/Sapno mai saakar bhi huyi/Nanhe kadmo ki aahat thi/Waqt ki raftaar bhi huyi/Waqt bhi raftaar bhi huyi.......

Sunday, November 03, 2013

Diwali man bhaavan....

Diwali man bhaavan,rango se saje aangan/Tyohaar ati paavan,vadh karo Raavan/Deep jale aangan,ghar aaye saajan/Prabhu tum dukh haaran/Laxmi kare paalan/Diwali man bhaavan,deep jale aangan......