Saturday, October 24, 2015

Mada mein choor tha....

Mada mein choor tha ek sar Dashanan ka/Ahankaar se grashit tha dusra sar Raavan ka/Lobh, moh, krodh, vaasna se mukt hi safal jeevan hai/Bhakti, daya, prem mile hum sabhi ko Narayan ka/Bhakti, daya, prem mile hum sabhi ko Narayan ka...

Friday, September 25, 2015

Na usko pata chala...

Na usko pata chala, na mujhko pata chala/Kaun kiska shukrguzaar hai,dono ko na pata chala/Roshni bikher di us diye ne chaaron taraf ahista ahista/Kab andhera gayab hua, na hulchal huyi na pata chala/Gurur hona chahiye tha usko apne hunar par/Jis saadgi se usne sab apnaya, na shor hua na pata chala/Jis saadgi se usne sab apnaya,na shor hua na pata chala...

Andhkarmaye jeevan prakashit kar diya...

Andhkaarmaye jeevan prakashit kar diya/Guruvaani ne saara jeevan saatvik kar diya/Wo swayam ko dhundh raha tha idhar udhar/Uski swayam se pehchaan karakar aastik kar diya/Uski swayam se pehchaan karakar aastik kar diya....

Kisi ki maut ka intezaar hota hai..

Kisi ki maut ka intezaar hota hai/Kisi ke janaaje par jahan rota hai/Fark itna hai sirf/Koi dilon me jagah bana leta hai/Koi aankhon me khatakta hai...

Aisa matrabhakt Kalaam tha...

Rameshwaram ki dharti se nikla usko aakhri salaam tha/Hindustaan ke man me basa wo ek paawan naam tha/Matrabhumi ki sewa uska ek hi kaam tha/Hum sab ka pyaara aisa matrabhakt Kalaam tha/Hum sab ka pyaara aisa matrabhakt Kalaam tha...

Atankvaad ki talwaar..

Aatankvaad ki talwaar lahoo luhaan karti hai/Jisko kata use bhi/Jisne kaata use aur uski naslo ko bhi...

Bade khoobsurat chehre hote hai...

Bade khoobsurat chehre hote hai/Saamne tareefon ke pull baandhte hai/Aag laga dete hai usi pull me peeth piche/Dhuaan chaaron or aasman me chaa jata hai uska/Dhuaan chaaron or aasman me chaa jata hai uska...