Wednesday, September 28, 2011

dhai kilometer mai .....

dhai kilometer mai simat kar rah gayi zindagi/paani ki tarah aankho se bah gayi zindagi/mujhe choona tha assemit aasma aur ye jahan/khud me hi simat kar rah gayi zindagi/panchi ko pinjde mein qaid kar diya tadapne ko/saanso ki qaid mai rah gayi zindagi/dhaago se azad huye to zanzeero mai bandh gaye/samay ke bandhan mein bandh kar rah gayi zindagi/samay ke bandhan mein bandh kar rah gayi zindagi.....

Tuesday, September 20, 2011

Har koi dhund raha hai ...

Har koi dhund raha hai kuch yahan,koi apni khushi,koi zindagi,koi aashaon se bhari ravani,koi alikhi kahanai..har koi dhund raha hai kuch yahan....kissi ko tanhaiyo ki talash hai,kissi ko duaon ki pyas hai,koi bite huye lamho ko dhundta hai,koi toote sapno ko jodta hai,har koi dhund raha hai kuch yahan......koi alikhi kahani mai gutha hai,koi dhadakte dhaago se bandha hai,koi palko ke saaye mai chupa hai,koi apne aap mai uljha hai...suljana hai kissi ko guthi daastan,banana hai kissi ko apna kaarwan,chodna hai kissi ko apne nisaan.....har koi dhund raha hai kuch yahan......

Saturday, September 17, 2011

mai apni aadat se...

mai apni aadat se majboor hu/kabhi paas to kabhi khud se door hu/saahil pe bhi doob jaya karte hai log kabhi kabhi/tu mujhse juda hai mai khud se majboor hu/sitaarno ne kaha andhyari raato mai chand se/tu rah na rahe mai teri aankho ka noor hu/tu rah na rahe mai teri aankho ka noor hu...........

Wednesday, September 07, 2011

tune ghao tn diye....

tune ghao itne diye k ab ashk bhi sookh gaye/mera dil phool tha ab patharro mai badal gaye/kitna aur imtihaan lega tu mere sabra ka/mere dil ka aaina tukde tukde hokar bikhar gaye/ek aag ka dariya chupa rakha hai bachke rehna tum ab/tumhara namonishan mit jayega hum t khanjar se gujar gaye/tumhara namonishan mit jayega hum to khanjar se gujar gaye....

Sunday, September 04, 2011

kayee sawal the dil mai...

kayee sawal the dil mai, kayee jawab talashne the/aankho mai sirf pani tha, ashko ko baantne the/tum puchte ho sahil se sagar kitna gehra hai/sawal bahut gehre hai jawabo k chahne the/mai khud mai simat kar rah gaya hu ab to ae rahbar/mai usko hamdard samjha uske kayee aaine the/mai usko hamdard samjha uske kayi aaine the.......