Tuesday, September 20, 2011
Har koi dhund raha hai ...
Har koi dhund raha hai kuch yahan,koi apni khushi,koi zindagi,koi aashaon se bhari ravani,koi alikhi kahanai..har koi dhund raha hai kuch yahan....kissi ko tanhaiyo ki talash hai,kissi ko duaon ki pyas hai,koi bite huye lamho ko dhundta hai,koi toote sapno ko jodta hai,har koi dhund raha hai kuch yahan......koi alikhi kahani mai gutha hai,koi dhadakte dhaago se bandha hai,koi palko ke saaye mai chupa hai,koi apne aap mai uljha hai...suljana hai kissi ko guthi daastan,banana hai kissi ko apna kaarwan,chodna hai kissi ko apne nisaan.....har koi dhund raha hai kuch yahan......
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment