Dopehar ki garmi mai jhulasti zindagi/Paseene mai darbadar,Sooti kapde
se pochkar/Jhoke ki rahat ko tarasti hai/ Sukoon ke do ghoont
peekar,badati hai phir se kadam apni manzil ki or/Kabhi daudti hai
cheete se bhi tej,kabhi thak kar girti hai falo ki tarah daali se/Kabhi
behti hai dariya ke jaise pathreele raaho se,Kabhi bhar leti hai
sametkar mamta ki baaho mai/Tootkar bikharti huyi zindagi,bikhar kar
phir jud jati hai,phir bikhar jati hai,phir jud jati bai.......
No comments:
Post a Comment