Aksar shehro mai gum jate hai log/Par mit jati hai unki sahanbhuti, mar jati hai antaraatma aisa pata na tha/ Chand ki chandni bhi dhumil padti hai suraj ki tez dhoop mai, par phir bhi wo chamakta rehta hai raat ke andhero mai,sheetalta pradan karte huye logo ko/Phir kyu mar jati hai logo ki samvedna usi sehar mai rahkar jahan har raat chand roshan karta hai usi sehar ko/Lagta hai logo ko sooraj se prerna milti hai jalne ki /ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab/ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab.......
Thursday, May 31, 2012
Sunday, May 13, 2012
Maa har pal yaad......
Maa har pal yaad karti hai/Kabhi sajda kabhi fariyaad karti hai/Ansu na a jaye meri aankho mai/Khud rokar din raat karti hai/Khusi ka khana mai akela kha gaya/Gam ka naasta wo mere sath karti hai/Gam ka naasta wo mere sath karti hai........
Saturday, May 05, 2012
Kitaabon ke panno mai....
Kitaabon ke panno mai likhi wo likhawat hai/Baithak ki almaari mai saji wo sajawat hai/Tere noor se nahi hattti hai ab aankhe/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai.....
Saturday, April 28, 2012
Sab kuch mila ho....
Sab kuch mila ho jab yuhi/Tu bhi haasil ho yuhi/Sajda to humne nahi ki thi/Teri dua huyi haasil yuhi/Mai akela nahi tha ab talak/Tera saath tha khwabo mai yuhi/Tera sath tha khwabo mai yuhi........
Tuesday, April 17, 2012
A cup of tea.....
A cup of tea,You and me/It's raining dear,romance in the air/Memories in vision,hot n cool fusion/Soft hearty number,romance in the air/Romance in the air.........
Saturday, April 14, 2012
O mere khuda.....
Ye kaisi khata,ya baddua/Tu kyu he rutha/O mere khuda,O mere khuda.../Kya thi wajah,ya teri raza/Sath kyu choota/O mere khuda,O mere khuda.../khusbu ki fiza,behne de hawa/Ab dede shafa/O mere khuda,O mere khuda.......
Wednesday, April 11, 2012
Dopehar ki garmi mai .......
Dopehar ki garmi mai jhulasti zindagi/Paseene mai darbadar,Sooti kapde
se pochkar/Jhoke ki rahat ko tarasti hai/ Sukoon ke do ghoont
peekar,badati hai phir se kadam apni manzil ki or/Kabhi daudti hai
cheete se bhi tej,kabhi thak kar girti hai falo ki tarah daali se/Kabhi
behti hai dariya ke jaise pathreele raaho se,Kabhi bhar leti hai
sametkar mamta ki baaho mai/Tootkar bikharti huyi zindagi,bikhar kar
phir jud jati hai,phir bikhar jati hai,phir jud jati bai.......
Subscribe to:
Posts (Atom)