Thursday, May 31, 2012

Aksar sehro mai gum jate hai log......

Aksar shehro mai gum jate hai log/Par mit jati hai unki sahanbhuti, mar jati hai antaraatma aisa pata na tha/ Chand ki chandni bhi dhumil padti hai suraj ki tez dhoop mai, par phir bhi wo chamakta rehta hai raat ke andhero mai,sheetalta pradan karte huye logo ko/Phir kyu mar jati hai logo ki samvedna usi sehar mai rahkar jahan har raat chand roshan karta hai usi sehar ko/Lagta hai logo ko sooraj se prerna milti hai jalne ki /ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab/ya wo itne kroor ho gaye ki jalna ya jalaana hi bacha hai unki zindagi mai ab.......

Sunday, May 13, 2012

Maa har pal yaad......

Maa har pal yaad karti hai/Kabhi sajda kabhi fariyaad karti hai/Ansu na a jaye meri aankho mai/Khud rokar din raat karti hai/Khusi ka khana mai akela kha gaya/Gam ka naasta wo mere sath karti hai/Gam ka naasta wo mere sath karti hai........

Saturday, May 05, 2012

Kitaabon ke panno mai....

Kitaabon ke panno mai likhi wo likhawat hai/Baithak ki almaari mai saji wo sajawat hai/Tere noor se nahi hattti hai ab aankhe/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai/Yu hi sajda hua lagta ki ibaadat hai.....

Saturday, April 28, 2012

Sab kuch mila ho....

Sab kuch mila ho jab yuhi/Tu bhi haasil ho yuhi/Sajda to humne nahi ki thi/Teri dua huyi haasil yuhi/Mai akela nahi tha ab talak/Tera saath tha khwabo mai yuhi/Tera sath tha khwabo mai yuhi........

Tuesday, April 17, 2012

A cup of tea.....

A cup of tea,You and me/It's raining dear,romance in the air/Memories in vision,hot n cool fusion/Soft hearty number,romance in the air/Romance in the air.........

Saturday, April 14, 2012

O mere khuda.....

Ye kaisi khata,ya baddua/Tu kyu he rutha/O mere khuda,O mere khuda.../Kya thi wajah,ya teri raza/Sath kyu choota/O mere khuda,O mere khuda.../khusbu ki fiza,behne de hawa/Ab dede shafa/O mere khuda,O mere khuda.......

Wednesday, April 11, 2012

Dopehar ki garmi mai .......

Dopehar ki garmi mai jhulasti zindagi/Paseene mai darbadar,Sooti kapde se pochkar/Jhoke ki rahat ko tarasti hai/ Sukoon ke do ghoont peekar,badati hai phir se kadam apni manzil ki or/Kabhi daudti hai cheete se bhi tej,kabhi thak kar girti hai falo ki tarah daali se/Kabhi behti hai dariya ke jaise pathreele raaho se,Kabhi bhar leti hai sametkar mamta ki baaho mai/Tootkar bikharti huyi zindagi,bikhar kar phir jud jati hai,phir bikhar jati hai,phir jud jati bai.......